gul muraqqa hain tere chaak-garebanon ke
Interesting Fact
(شبستان اردو ڈائجسٹ۔ نئی دہلی فروی ۱۹۶۹ء)
gul muraqqa.a haiñ tire chāk-garebānoñ ke
shakl ma.ashūq kī andāz haiñ dīvānoñ ke
ka.aba-o-dahr meñ hotī hai parastish kis kī
mai-parastoñ ye koī naam haiñ mai-ḳhānoñ ke
par-e-parvāz bane ḳhud sharar-e-sham.a kabhī
sharar sham.a bane par kabhī parānoñ ke
zikr kiyā ahl-e-junūñ kā jab aatī hai bahār
vo to vo rañg badal jaate haiñ zindānoñ ke
vus.at-o-zāt meñ gum vahdat-o-kasrat 'riyāz'
jo bayābāñ haiñ vo zarre haiñ bayābānoñ ke
gul muraqqa hain tere chaak-garebanon ke
shakl mashuq ki andaz hain diwanon ke
kaba-o-dahr mein hoti hai parastish kis ki
mai-paraston ye koi nam hain mai-KHanon ke
par-e-parwaz bane KHud sharar-e-shama kabhi
sharar shama bane par kabhi paranon ke
zikr kiya ahl-e-junun ka jab aati hai bahaar
wo to wo rang badal jate hain zindanon ke
wusat-o-zat mein gum wahdat-o-kasrat 'riyaz'
jo bayaban hain wo zarre hain bayabanon ke
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 107)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.