Khaali hi sahi saghar KHamosh raho samjho
ḳhālī hī sahī sāġhar ḳhāmosh raho samjho
majbūri-e-sāqī bhī ai tishna-labo samjho
samjheñ na samajh vaale samjhātā hai jaane kyā
dīvāna tumhārā hai ab tum hī chalo samjho
maiñ rāh-e-mohabbat kā ik adnā musāfir huuñ
rasta na mirā roko jaane do haTo samjho
dil apnā na kho denā kahne pe kabhī dil ke
ye 'ishq-e-majāzī hai āñkhoñ ko paḌho samjho
ġhota na lagāo tum nafrat ke samandar meñ
dariyā-e-mohabbat ke tairāk bano samjho
tā-hashr zafar yaabī taqdīr tumhārī hai
allāh kā vā'da hai īmāñ pe raho samjho
qadmoñ ke tale maañ ke jannat hai 'hakīmī' par
hai baap magar kunjī ye yaad rakho samjho
KHali hi sahi saghar KHamosh raho samjho
majburi-e-saqi bhi ai tishna-labo samjho
samjhen na samajh wale samjhata hai jaane kya
diwana tumhaara hai ab tum hi chalo samjho
main rah-e-mohabbat ka ek adna musafir hun
rasta na mera roko jaane do haTo samjho
dil apna na kho dena kahne pe kabhi dil ke
ye 'ishq-e-majazi hai aankhon ko paDho samjho
ghota na lagao tum nafrat ke samandar mein
dariya-e-mohabbat ke tairak bano samjho
ta-hashr zafar yabi taqdir tumhaari hai
allah ka wa'da hai iman pe raho samjho
qadmon ke tale man ke jannat hai 'hakimi' par
hai bap magar kunji ye yaad rakho samjho
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 415)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.