apne tarkash mein jo wo tir-e-nazar rakhte hain
apne tarkash meñ jo vo tīr-e-nazar rakhte haiñ
ham bhī haiñ sīna-sipar ham bhī jigar rakhte haiñ
husn kī bhiiḌ meñ ik tum ko hamīñ ne DhūñDā
husn tum rakhte ho ham husn-e-nazar rakhte haiñ
aap se bāteñ hamārī haiñ kahāñ poshīda
aap ke kaan to dīvār meñ dar rakhte haiñ
ḳhāk-e-dahlīz dar-e-yār meñ hai apnā nasīb
ham kahāñ chāñd sitāroñ pe nazar rakhte haiñ
dekhnā bhī jo gavārā nahīñ karte haiñ hameñ
sunte haiñ ham pe vahī puurī nazar rakhte haiñ
bazm meñ ham ko ka.ī aise bhī mil jaate haiñ log
nazreñ hotī haiñ udhar kaan idhar rakhte haiñ
baat sunte haiñ kahāñ vo to zabāñ par 'as.ad'
kyuuñ kahāñ kaise agar aur magar rakhte haiñ
apne tarkash mein jo wo tir-e-nazar rakhte hain
hum bhi hain sina-sipar hum bhi jigar rakhte hain
husn ki bhiD mein ek tum ko hamin ne DhunDa
husn tum rakhte ho hum husn-e-nazar rakhte hain
aap se baaten hamari hain kahan poshida
aap ke kan to diwar mein dar rakhte hain
KHak-e-dahliz dar-e-yar mein hai apna nasib
hum kahan chand sitaron pe nazar rakhte hain
dekhna bhi jo gawara nahin karte hain hamein
sunte hain hum pe wahi puri nazar rakhte hain
bazm mein hum ko kai aise bhi mil jate hain log
nazren hoti hain udhar kan idhar rakhte hain
baat sunte hain kahan wo to zaban par 'asad'
kyun kahan kaise agar aur magar rakhte hain
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 62)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.