tumhaare aastan ka jo koi diwana kahlae
tumhāre āstāñ kā jo koī dīvāna kahlā.e
tum hī kah do vo duniyā ke liye kyuuñ Thokareñ khaa.e
zamāne se hameñ kyā hai hamārā mudda.ā tum ho
badalnā chāhtā hai ye zamāna to badal jaa.e
abhī to ham zamāne kī nazar meñ kuchh nahīñ lekin
ye mumkin hai hamāre ba.ad duniyā hosh meñ aa.e
koī majbūr hai kyuuñ aur kyuuñ muḳhtār hai koī
jahāñ vāloñ ko ye rāz-e-mashiyyat kaun samjhā.e
na jaane kyā banā detā ḳhayāl-e-mā-sivā mujh ko
bahut achchhā kiyā tum merī duniyā meñ chale aa.e
na jaane kis kī sūrat dekh kar aayā hai dīvāna
ke us ke ḳhair-maqdam ke liye dair-o-haram aa.e
hameñ bhī ik nazar jalva dikhā ai dāvar-e-mahshar
kalīm-o-tūr kā qissa kahāñ tak koī dohrā.e
balā ke ranj-o-ġham darpesh haiñ rāh-e-mohabbat meñ
hamārī manzil-e-dil tak hameñ allāh pahuñchā.e
terī ḳhātir hī us ne Thokareñ khā.īñ zamāne kī
tere dar se ab uTh kar terā dīvāna kahāñ jaa.e
abhī tak to ġhubār-ālūd hai ā.īna-e-hastī
jo chāheñ aap to ye ā.īna ā.īna ban jaa.e
mai-e-ishrat ke badle zahr-e-ġham thā apne sāġhar meñ
kuchh aise bhī hamārī ziist meñ lail-o-nahār aa.e
merā dil kah rahā hai us meñ koī raaz pinhāñ hai
dam-e-āḳhir ek aalam aa gayā hai vo nahīñ aa.e
faqīrī us kī sultānī se kam hotī nahīñ 'sādiq'
talab hote ho.e bhī haath jo apne na phailā.e
tumhaare aastan ka jo koi diwana kahlae
tum hi kah do wo duniya ke liye kyun Thokaren khae
zamane se hamein kya hai hamara muddaa tum ho
badalna chahta hai ye zamana to badal jae
abhi to hum zamane ki nazar mein kuchh nahin lekin
ye mumkin hai hamare baad duniya hosh mein aae
koi majbur hai kyun aur kyun muKHtar hai koi
jahan walon ko ye raaz-e-mashiyyat kaun samjhae
na jaane kya bana deta KHayal-e-ma-siwa mujh ko
bahut achchha kiya tum meri duniya mein chale aae
na jaane kis ki surat dekh kar aaya hai diwana
ke us ke KHair-maqdam ke liye dair-o-haram aae
hamein bhi ek nazar jalwa dikha ai dawar-e-mahshar
kalim-o-tur ka qissa kahan tak koi dohrae
bala ke ranj-o-gham darpesh hain rah-e-mohabbat mein
hamari manzil-e-dil tak hamein allah pahunchae
teri KHatir hi us ne Thokaren khain zamane ki
tere dar se ab uTh kar tera diwana kahan jae
abhi tak to ghubar-alud hai aaina-e-hasti
jo chahen aap to ye aaina aaina ban jae
mai-e-ishrat ke badle zahr-e-gham tha apne saghar mein
kuchh aise bhi hamari zist mein lail-o-nahaar aae
mera dil kah raha hai us mein koi raaz pinhan hai
dam-e-aKHir ek aalam aa gaya hai wo nahin aae
faqiri us ki sultani se kam hoti nahin 'sadiq'
talab hote hoe bhi hath jo apne na phailae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.