teri aankhon se pine ki jise bhi aarzu hogi
terī āñkhoñ se piine kī jise bhī aarzū hogī
mere saaqī use kyā hasrat-e-jām-o-subū hogī
terī hastī agar ḳhud bazm meñ ai sham.a-rū hogī
har ek dil ko fidā hone kī tujh par aarzū hogī
tasavvur meñ vo ā.eñge to puurī aarzū hogī
vo mere paas hoñge aur un se guftugū hogī
mazā to bandagī-e-ishq kā us vaqt aa.egā
tere naqsh-e-qadam hoñge jabīn-e-ārzū hogī
tumhīñ ko dekh kar ġhunche chaman meñ muskurāte haiñ
tumhāre ba.ad kis ko ehtiyāj-e-rañg-o-bū hogī
hamārā qissa-e-ġham sunte sunte Duub jā.eñge
shab-e-furqat sitāroñ se jab apnī guftugū hogī
ajal ke saath hī vo bhī agar tashrīf le aa.e
to phir ek ek nafas kī zindagī ko aarzū hogī
bahut nazdīk hai vo din ki jab duniyā ke hoñToñ par
merā afsāna hogā aur merī guftugū hogī
pas-e-murdan zamāna DhūñDtā hai marne vāloñ ko
hamāre ba.ad duniyā ko hamārī justujū hogī
jahāñ se bhī ham apnī dāstāñ chheḌeñge ai 'sādiq'
mohabbat ke hī unvāñ par hamārī guftugū hogī
teri aankhon se pine ki jise bhi aarzu hogi
mere saqi use kya hasrat-e-jam-o-subu hogi
teri hasti agar KHud bazm mein ai shama-ru hogi
har ek dil ko fida hone ki tujh par aarzu hogi
tasawwur mein wo aaenge to puri aarzu hogi
wo mere pas honge aur un se guftugu hogi
maza to bandagi-e-ishq ka us waqt aaega
tere naqsh-e-qadam honge jabin-e-arzu hogi
tumhin ko dekh kar ghunche chaman mein muskuraate hain
tumhaare baad kis ko ehtiyaj-e-rang-o-bu hogi
hamara qissa-e-gham sunte sunte Dub jaenge
shab-e-furqat sitaron se jab apnī guftugu hogi
ajal ke sath hi wo bhi agar tashrif le aae
to phir ek ek nafas ki zindagi ko aarzu hogi
bahut nazdik hai wo din ki jab duniya ke honTon par
mera afsana hoga aur meri guftugu hogi
pas-e-murdan zamana DhunDta hai marne walon ko
hamare baad duniya ko hamari justuju hogi
jahan se bhi hum apnī dastan chheDenge ai 'sadiq'
mohabbat ke hi unwan par hamari guftugu hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.