mohabbat ka rahega kya bhram jab hum nahin honge
mohabbat kā rahegā kyā bhram jab ham nahīñ hoñge
tamāsha ban ke rah jāygā ġham jab ham nahīñ hoñge
kise hogā yahāñ armān-e-ġham jab ham nahīñ hoñge
na hogā koī marhūn-e-sitam jab ham nahīñ hoñge
bahut pachhtā.eñge ahl-e-karam jab ham nahīñ hoñge
kise baḳhsheñge duniyā bhar ke ġham jab ham nahīñ hoñge
abhī to vaqt hai ham se vafāoñ kā sabaq le lo
vafā ho jā.egī duniyā meñ kam jab ham nahīñ hoñge
hamīñ se to mazāq-e-ishq kā me.aar qaa.im hai
na hogā koī afsāna raqam jab ham nahīñ hoñge
hamīñ se dāstān-e-sarmad-o-mansūr zinda hai
razā har sar karegā kaun ḳham jab ham nahīñ hoñge
hamāre ba.ad hañs kar zaḳhm dil par kaun khā.egā
chalegī kis pe phir teġh-e-sitam jab ham nahīñ hoñge
hamāre ba.ad ye hañgām-e-mahshar kaun dekhegā
banegā kaun tasvīr-e-alam jab ham nahīñ hoñge
hamīñ ne aap kī rāhoñ ko sajdoñ se sajāyā hai
na hoñge phir ye ādāb-e-haram jab ham nahīñ hoñge
hamāre ba.ad koī banda-e-bedām kyā hogā
dhare rah jā.eñge qaul-o-qasam jab ham nahīñ hoñge
hamārī zindagī dars-e-amal hai ahl-e-duniyā ko
na hogā phir kisī kā kuchh bhram jab ham nahīñ hoñge
kuchh aise naqsh apne ba.ad ham chhoḌeñge duniyā meñ
likheñge dāstāñ ahl-e-qalam jab ham nahīñ hoñge
zabān-e-ḳhalq par hogā hamāre ġham kā afsāna
jahāñ ko yaad phir ā.eñge ham jab ham nahīñ hoñge
hamārī ḳhāmushī meñ saikḌoñ asrār pinhāñ haiñ
hamahīñ ro.eñge arbāb-e-sitam jab ham nahīñ hoñge
hamārī zindagī hāmil hai asrār-e-mohabbat kī
mileñge kab amīn-e-dard-o-ġham jab ham nahīñ hoñge
hamīñ se pairvī mansūb hai ahl-e-mohabbat kī
na chūmegā koī naqsh-e-qadam jab ham nahīñ hoñge
hamīñ se hai ye qadr-o-manzilat shaiḳh-o-barhaman kī
na hogī hurmat-e-dair-o-haram jab ham nahīñ hoñge
hamāre ḳhalaq se qaa.em vaqār-e-ādamiyat hai
na hogī ādamiyat muġhtanim jab ham nahīñ hoñge
hamāre ba.ad mi'mār-e-mohabbat kaun āye.gā
na hogā phir zamāna yuuñ ba-ham jab ham nahīñ hoñge
hamāre hī lahū se tāzgī ġhunchoñ ne paa.ī hai
na hogā ye chaman rashk-e-iram jab ham nahīñ hoñge
abhī is raaz ko samjhe nahii. ahl-e-gulistāñ bhī
bahut dar-pesh ā.eñge alam jab ham nahīñ hoñge
hamāre dam se maiñ ahl-e-junūñ dasht-o-bayābāñ meñ
ukhaḌ jā.eñge un ke bhī qadam jab ham nahīñ hoñge
hazāroñ rāh-rau gum hoke rah jā.eñge rāhoñ meñ
baḌheñge manziloñ ke pech-o-ḳham jab ham nahīñ hoñge
hamāre ba.ad aisā inqalāb aa.egā duniyā meñ
sukūñ hāsil na hogā mohtaram jab ham nahīñ hoñge
yañh to tishnagī meñ bhī na saaqī se shikāyat kī
rahegā mai-kade kā kyā bhram jab ham nahīñ hoñge
mai-e-ishrat ke badle zahar pī kar shādmāñ ham haiñ
pīye.gā kaun yuuñ sāġhar se sam jab ham nahīñ hoñge
hamāre ba.ad zauq-e-mai-kashī kis ko atā hogā
bahak jā.eñge rindoñ ke qadam jab ham nahīñ hoñge
hamāre hī tasarruf se nujūm-e-charḳh raushan haiñ
na koī dil banegā jām-e-jam jab ham nahīñ hoñge
numāyāñ hogī arbāb-e-haram kī maslahat-bīnī
bujhā deñge yahī sham-e-haram jab ham nahīñ hoñge
hamīñ se hai ye husn-e-ahd-o-paimāñ rasm-e-dil-dārī
na hoñge mo'atabar qaul-o-qasam jab ham nahīñ hoñge
azal se āshnā ab tak mizāj-e-husn se ham haiñ
na suljheñge kabhī zulfoñ ke ḳham jab ham nahīñ hoñge
hamārā hī to kaasa hai bhram terī saḳhāvat kā
na hoñge tālib-e-luf-o-karam jab ham nahīñ hoñge
abhī to dekh kar ham ko tum āñkheñ pher lete ho
raheñge dard bab-kar dil meñ ham jab ham nahīñ hoñge
miTāte ho miTā Daalo ḳhirām-e-nāz se lekin
na roke se rukeñge ashk-e-ġham jab ham nahīñ hoñge
hamīñ to manzil-e-sabr-o-razā ke aaj rahbar haiñ
rahegā kaun phir sābit-qadam jab ham nahīñ hoñge
hamīñ ne to sañvāre haiñ hamesha kākul-e-hastī
paḌeñge kākul-e-hastī meñ ḳham jab ham nahīñ hoñge
hamīñ se mutrib-e-naġhma-sarā kī qadr-o-qīmat hai
na hoñge saaz meñ ye zer-o-bam jab ham nahīñ hoñge
hamīñ tak jānkārī bhī hai manzil āshnā.ī kī
nahīñ pahuñcheñge manzil tak qadam jab ham nahīñ hoñge
hamāre ba.ad sāhil tak kashtī na pahuñchegī
na.e ubhreñge tūfāñ dam-ba-dam jab ham nahīñ hoñge
ummīdoñ ke safīne Duub jā.eñge kināre par
uTheñge is tarah tūfān-e-ġham jab ham nahīñ hoñge
chārāġh-e-rah-e-manzil ban ke chamkegā añdheroñ meñ
hamārā ek-ek naqsh-e-qadam jab ham nahīñ hoñge
hamīñ ne be-bahā motī bhare haiñ us ke dāman meñ
hamīñ royā karegī shām-e-ġham jab ham nahīñ hoñge
haqīqat meñ bayāñ jo kuchh ka.e rāz-e-nihāñ ham ne
samajh meñ ā.eñge ai mohtaram jab ham nahīñ hoñge
nihāñ ho jā.egā ḳhurshed but-ḳhāna bhī ai 'sādiq'
ayaañ hogā na mahtāb-e-haram jab ham nahīñ hoñge
hijābāt-e-nazar ham ne uThā rakhe haiñ ai 'sādiq'
na dekhegā koī rū-e-sanam jab ham nahīñ hoñge
mohabbat ka rahega kya bhram jab hum nahin honge
tamasha ban ke rah jayga gham jab hum nahin honge
kise hoga yahan arman-e-gham jab hum nahin honge
na hoga koi marhun-e-sitam jab hum nahin honge
bahut pachhtaenge ahl-e-karam jab hum nahin honge
kise baKHshenge duniya bhar ke gham jab hum nahin honge
abhi to waqt hai hum se wafaon ka sabaq le lo
wafa ho jaegi duniya mein kam jab hum nahin honge
hamin se to mazaq-e-ishq ka mear qaim hai
na hoga koi afsana raqam jab hum nahin honge
hamin se dastan-e-sarmad-o-mansur zinda hai
raza har sar karega kaun KHam jab hum nahin honge
hamare baad hans kar zaKHm dil par kaun khaega
chalegi kis pe phir tegh-e-sitam jab hum nahin honge
hamare baad ye hangam-e-mahshar kaun dekhega
banega kaun taswir-e-alam jab hum nahin honge
hamin ne aap ki rahon ko sajdon se sajaya hai
na honge phir ye aadab-e-haram jab hum nahin honge
hamare baad koi banda-e-bedam kya hoga
dhare rah jaenge qaul-o-qasam jab hum nahin honge
hamari zindagi dars-e-amal hai ahl-e-duniya ko
na hoga phir kisi ka kuchh bhram jab hum nahin honge
kuchh aise naqsh apne baad hum chhoDenge duniya mein
likhenge dastan ahl-e-qalam jab hum nahin honge
zaban-e-KHalq par hoga hamare gham ka afsana
jahan ko yaad phir aaenge hum jab hum nahin honge
hamari KHamushi mein saikDon asrar pinhan hain
hamahin roenge arbab-e-sitam jab hum nahin honge
hamari zindagi hamil hai asrar-e-mohabbat ki
milenge kab amin-e-dard-o-gham jab hum nahin honge
hamin se pairwi mansub hai ahl-e-mohabbat ki
na chumega koi naqsh-e-qadam jab hum nahin honge
hamin se hai ye qadr-o-manzilat shaiKH-o-barhaman ki
na hogi hurmat-e-dair-o-haram jab hum nahin honge
hamare KHalaq se qaem waqar-e-adamiyat hai
na hogi aadamiyat mughtanim jab hum nahin honge
hamare baad mi'mar-e-mohabbat kaun aayega
na hoga phir zamana yun ba-ham jab hum nahin honge
hamare hi lahu se tazgi ghunchon ne pai hai
na hoga ye chaman rashk-e-iram jab hum nahin honge
abhi is raaz ko samjhe nahi ahl-e-gulistan bhi
bahut dar-pesh aaenge alam jab hum nahin honge
hamare dam se main ahl-e-junun dasht-o-bayaban mein
ukhaD jaenge un ke bhi qadam jab hum nahin honge
hazaron rah-rau gum hoke rah jaenge rahon mein
baDhenge manzilon ke pech-o-KHam jab hum nahin honge
hamare baad aisa inqalab aaega duniya mein
sukun hasil na hoga mohtaram jab hum nahin honge
yanh to tishnagi mein bhi na saqi se shikayat ki
rahega mai-kade ka kya bhram jab hum nahin honge
mai-e-ishrat ke badle zahar pi kar shadman hum hain
piyega kaun yun saghar se sam jab hum nahin honge
hamare baad zauq-e-mai-kashi kis ko ata hoga
bahak jaenge rindon ke qadam jab hum nahin honge
hamare hi tasarruf se nujum-e-charKH raushan hain
na koi dil banega jam-e-jam jab hum nahin honge
numayan hogi arbab-e-haram ki maslahat-bini
bujha denge yahi sham-e-haram jab hum nahin honge
hamin se hai ye husn-e-ahd-o-paiman rasm-e-dil-dari
na honge mo'atabar qaul-o-qasam jab hum nahin honge
azal se aashna ab tak mizaj-e-husn se hum hain
na suljhenge kabhi zulfon ke KHam jab hum nahin honge
hamara hi to kasa hai bhram teri saKHawat ka
na honge talib-e-luf-o-karam jab hum nahin honge
abhi to dekh kar hum ko tum aankhen pher lete ho
rahenge dard bab-kar dil mein hum jab hum nahin honge
miTate ho miTa Dalo KHiram-e-naz se lekin
na roke se rukenge ashk-e-gham jab hum nahin honge
hamin to manzil-e-sabr-o-raza ke aaj rahbar hain
rahega kaun phir sabit-qadam jab hum nahin honge
hamin ne to sanware hain hamesha kakul-e-hasti
paDenge kakul-e-hasti mein KHam jab hum nahin honge
hamin se mutrib-e-naghma-sara ki qadr-o-qimat hai
na honge saz mein ye zer-o-bam jab hum nahin honge
hamin tak jaankari bhi hai manzil aashnai ki
nahin pahunchenge manzil tak qadam jab hum nahin honge
hamare baad sahil tak kashti na pahunchegi
nae ubhrenge tufan dam-ba-dam jab hum nahin honge
ummidon ke safine Dub jaenge kinare par
uThenge is tarah tufan-e-gham jab hum nahin honge
chaaragh-e-rah-e-manzil ban ke chamkega andheron mein
hamara ek-ek naqsh-e-qadam jab hum nahin honge
hamin ne be-baha moti bhare hain us ke daman mein
hamin roya karegi sham-e-gham jab hum nahin honge
haqiqat mein bayan jo kuchh kae raaz-e-nihan hum ne
samajh mein aaenge ai mohtaram jab hum nahin honge
nihan ho jaega KHurshed but-KHana bhi ai 'sadiq'
ayan hoga na mahtab-e-haram jab hum nahin honge
hijabaat-e-nazar hum ne uTha rakhe hain ai 'sadiq'
na dekhega koi ru-e-sanam jab hum nahin honge
- Book : Nigar-e-Sadiq (Pg. 124)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.