KHamosh tere kuche mein jaya nahin jata
ḳhāmosh tire kūche meñ jaayā nahīñ jaatā
o bhūlne vaale tū bhulā yā nahīñ jaatā
badle ġham-e-furqat ke mujhe maar hī Daalo
do zahar ki ye zahar to khāyā nahīñ jaatā
mujh se unheñ sab kuchh ho mohabbat to nahīñ hai
ehsān mohabbat meñ jatāyā nahīñ jaatā
ham haiñ ki kabhī aañkh milā.ī nahīñ jaatī
vo haiñ ki kabhī haath milā yā nahīñ jaatā
kis tarah dikhā.ūñ maiñ jise dekh rahā huuñ
jo dekh rahā huuñ vo dikhāyā nahīñ jaatā
rūThe hue ma.ashūq to haiñ maan bhī jaate
machlā huā dil hai ye manāyā nahīñ jaatā
har ek se bad-zan na ho ai qātil-e-a.alam
har ek ko ma.ashūq banāyā nahīñ jaatā
kaTtī hai apāhij kī tarah aap kī dhun meñ
uTThā nahīñ jaatā kahīñ jaayā nahīñ jaatā
jis tarah satāyā hai 'safī' dost ne mujh ko
dushman ko bhī is tarah satāyā nahīñ jaatā
KHamosh tere kuche mein jaya nahin jata
o bhulne wale tu bhula ya nahin jata
badle gham-e-furqat ke mujhe mar hi Dalo
do zahar ki ye zahar to khaya nahin jata
mujh se unhen sab kuchh ho mohabbat to nahin hai
ehsan mohabbat mein jataya nahin jata
hum hain ki kabhi aankh milai nahin jati
wo hain ki kabhi hath mila ya nahin jata
kis tarah dikhaun main jise dekh raha hun
jo dekh raha hun wo dikhaya nahin jata
ruThe hue mashuq to hain man bhi jate
machla hua dil hai ye manaya nahin jata
har ek se bad-zan na ho ai qatil-e-alam
har ek ko mashuq banaya nahin jata
kaTti hai apahij ki tarah aap ki dhun mein
uTTha nahin jata kahin jaya nahin jata
jis tarah sataya hai 'safi' dost ne mujh ko
dushman ko bhi is tarah sataya nahin jata
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 5)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.