dil ke kho jaane se main kis waste roya karun
dil ke kho jaane se maiñ kis vāste royā karūñ
kho gayā to aap ne khoyā use maiñ kyā karūñ
sāmne aa.e to us ko dekh saktā bhī nahīñ
aarzū hī aarzū hai bas use dekhā karūñ
dardmandoñ ko tashaffī do tasallī do zarā
ye kahāñ kī baat sīkhī aap ne maiñ kyā karūñ
baat muñh meñ hai ki matlab tak pahuñch jaatā hai vo
kahiye phir aise se iz.hār-e-tamannā kyā karūñ
raat kī taklīf mehmānī hai sirf is vāste
sub.h ko uTThūñ to sūrat aap kī dekhā karūñ
kaun sā āfat-zada rahtā hai kūcha meñ tire
shab ko ik āvāz aatī hai ilāhī kyā karūñ
ai 'safī' ab maiñ ne dil meñ Thaan lī hai ek baat
sab kī sunñe ko to sun luuñ kaam karne kā karūñ
dil ke kho jaane se main kis waste roya karun
kho gaya to aap ne khoya use main kya karun
samne aae to us ko dekh sakta bhi nahin
aarzu hi aarzu hai bas use dekha karun
dardmandon ko tashaffi do tasalli do zara
ye kahan ki baat sikhi aap ne main kya karun
baat munh mein hai ki matlab tak pahunch jata hai wo
kahiye phir aise se izhaar-e-tamanna kya karun
raat ki taklif mehmani hai sirf is waste
subh ko uTThun to surat aap ki dekha karun
kaun sa aafat-zada rahta hai kucha mein tere
shab ko ek aawaz aati hai ilahi kya karun
ai 'safi' ab main ne dil mein Than li hai ek baat
sab ki sunne ko to sun lun kaam karne ka karun
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 113)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.