jahan husn ki garm bazariyan hain
jahāñ husn kī garm bāzāriyāñ haiñ
dil-āzāriyāñ hī dil-āzāriyāñ haiñ
kabhī dushmanoñ kī bhī ġham-ḳhvāriyāñ haiñ
mohabbat meñ kyā kyā mazedāriyāñ haiñ
na pahle se vo haiñ na un kī tabī.at
vahī ham vahī nāz-bardāriyāñ haiñ
ye kuchh aur hī aaj hai terī mahfil
ye kuchh aur hī aaj tayyāriyāñ haiñ
mere āñsuoñ ne jalāyā adū ko
tamāshā hai paanī meñ chiñgāriyāñ haiñ
hukūmat ke alfāz likhte haiñ ham ko
ye naame haiñ yā nīm-sarkāriyāñ haiñ
'safī' aur dil deñ hasīnoñ ko tauba
ajī sab ye hazrat kī makkāriyāñ haiñ
jahan husn ki garm bazariyan hain
dil-azariyan hi dil-azariyan hain
kabhi dushmanon ki bhi gham-KHwariyan hain
mohabbat mein kya kya mazedariyan hain
na pahle se wo hain na un ki tabiat
wahi hum wahi naz-bardariyan hain
ye kuchh aur hi aaj hai teri mahfil
ye kuchh aur hi aaj tayyariyan hain
mere aansuon ne jalaya adu ko
tamasha hai pani mein chingariyan hain
hukumat ke alfaz likhte hain hum ko
ye name hain ya nim-sarkariyan hain
'safi' aur dil den hasinon ko tauba
aji sab ye hazrat ki makkariyan hain
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 115)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.