mohabbat se na dekho tum to dushman ki nazar dekho
mohabbat se na dekho tum to dushman kī nazar dekho
ḳhafā hokar bigaḌ kar ruuTh kar dekho magar dekho
ḳhudā ne dī haiñ āñkheñ dekhne hī ko magar dekho
zarā khoTā kharā parkho zarā aib-o-hunar dekho
zamāne ne to sau-sau tarah ham ko āzmāyā hai
jahāñ tak zulm ho saktā hai tum se tum bhī kar dekho
tamāshā-gāh-e-ālam meñ tamāshā ek ham bhī haiñ
tum apne dil ke mālik ho jidhar chāho udhar dekho
tumhāre dil meñ kis zālim ne Daalī bad-zanī aisī
mujhe dekho duā dekho duāoñ kā asar dekho
tabāhī aur phir kaisī tabāhī aaj tak ham ne
zarā insāf se tum apne dil meñ soch kar dekho
lihāz un ḳhūbsūrat zālimoñ kā kyā kare koī
mirā dard-e-jigar dāġh-e-jigar zaḳhm-e-jigar dekho
koī be-tāb koī mast koī chup koī hairāñ
tirī mahfil meñ goyā ik tamāshā hai jidhar dekho
kahāñ tak minnateñ ab to yahī jī meñ samā.ī hai
mile koī milo koī dikhā.ī de agar dekho
duā.eñ lete jaate haiñ tasallī dete jaate haiñ
zabānī jam'-ḳharch un kā baḌhā hai kis qadar dekho
dil-e-gum-gashta kī bābat mere hañs kar vo ye bole
yahāñ dekho vahāñ dekho idhar dekho udhar dekho
tumhārī dushmanī ne dushmanī ke gur sikhā.e haiñ
nahīñ to ham na the hoshiyār pahle is qadar dekho
tumheñ ma.alūm hai jo haal hai lekin zarā phir bhī
idhar aao mere nazdīk baiTho ik nazar dekho
havas-kārī hai parde meñ mohabbat ke 'safī' sāhib
banāyā aib ko bhī yaar logoñ ne hunar dekho
mohabbat se na dekho tum to dushman ki nazar dekho
KHafa hokar bigaD kar ruTh kar dekho magar dekho
KHuda ne di hain aankhen dekhne hi ko magar dekho
zara khoTa khara parkho zara aib-o-hunar dekho
zamane ne to sau-sau tarah hum ko aazmaya hai
jahan tak zulm ho sakta hai tum se tum bhi kar dekho
tamasha-gah-e-alam mein tamasha ek hum bhi hain
tum apne dil ke malik ho jidhar chaho udhar dekho
tumhaare dil mein kis zalim ne Dali bad-zani aisi
mujhe dekho dua dekho duaon ka asar dekho
tabahi aur phir kaisi tabahi aaj tak hum ne
zara insaf se tum apne dil mein soch kar dekho
lihaz un KHubsurat zalimon ka kya kare koi
mera dard-e-jigar dagh-e-jigar zaKHm-e-jigar dekho
koi be-tab koi mast koi chup koi hairan
teri mahfil mein goya ek tamasha hai jidhar dekho
kahan tak minnaten ab to yahi ji mein samai hai
mile koi milo koi dikhai de agar dekho
duaen lete jate hain tasalli dete jate hain
zabani jam'-KHarch un ka baDha hai kis qadar dekho
dil-e-gum-gashta ki babat mere hans kar wo ye bole
yahan dekho wahan dekho idhar dekho udhar dekho
tumhaari dushmani ne dushmani ke gur sikhae hain
nahin to hum na the hoshiyar pahle is qadar dekho
tumhein malum hai jo haal hai lekin zara phir bhi
idhar aao mere nazdik baiTho ek nazar dekho
hawas-kari hai parde mein mohabbat ke 'safi' sahib
banaya aib ko bhi yar logon ne hunar dekho
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 132)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.