gile shikwe karenge zulm ke ab us sitam-gar se
gile shikve kareñge zulm ke ab us sitam-gar se
kaho phir kyā kare koī jo ūñchī ho ga.ī sar se
hameñ dard-o-alam kam hī mile hoñge muqaddar se
magar phir bhī bahut ro.e bahut taḌpe bahut tarse
tabī.at bujh ga.ī jab se tire dīdār ko tarse
agar ab niiñd bhī aatī hai uTh jaate haiñ bistar se
burā ho yā ilāhī iztirāb-e-qalb-e-muztar kā
na rah saktā huuñ bistar par na uTh saktā huuñ bistar se
liyā jab chāhne kā naam farmāyā baḌe chāhā
tarasne kā kyā jab zikr farmāyā baḌe tarse
bahār aa.e to yārab har kalī gulzār ho jaa.e
baḌī hasrat meñ guzrī ab ke ik ik phuul ko tarse
kisī kā ḳhat kahāñ ham ne to be-par kī uḌaa.ī thī
magar logoñ ko dekho chhaT ga.e dil meñ kabūtar se
na jaane rah ga.ī bhūle se dil meñ kaun sī hasrat
koī rah rah ke goyā chīrtā hai dil ko nashtar se
hameñ ma.ashūq ko apnā banānā tak nahīñ aatā
banāne vaale ā.īna banā lete haiñ patthar se
zabāñ se aah niklī dil se naala aañkh se aañsū
magar ik terī dhun hai jo nikaltī hī nahīñ sar se
are nādān sachchā chāhne vaalā nahīñ miltā
vo lailā thī ki jis ko mil gayā majnūñ muqaddar se
milan-sārī bhī sīkho jab nigāh-e-nāz paa.ī hai
mirī jaañ aadmī aḳhlāq se talvār jauhar se
ḳhudā kī shaan matlab-āshnā aise bhī hote haiñ
butoñ ne ban ke but sajda karāyā pahle but-gar se
'safī' ko muskurā kar dekh lo ġhussa se kyā hāsil
use tum zahr kyuuñ dete ho jo martā hai shakkar se
gile shikwe karenge zulm ke ab us sitam-gar se
kaho phir kya kare koi jo unchi ho gai sar se
hamein dard-o-alam kam hi mile honge muqaddar se
magar phir bhi bahut roe bahut taDpe bahut tarse
tabiat bujh gai jab se tere didar ko tarse
agar ab nind bhi aati hai uTh jate hain bistar se
bura ho ya ilahi iztirab-e-qalb-e-muztar ka
na rah sakta hun bistar par na uTh sakta hun bistar se
liya jab chahne ka nam farmaya baDe chaha
tarasne ka kya jab zikr farmaya baDe tarse
bahaar aae to yarab har kali gulzar ho jae
baDi hasrat mein guzri ab ke ek ek phul ko tarse
kisi ka KHat kahan hum ne to be-par ki uDai thi
magar logon ko dekho chhaT gae dil mein kabutar se
na jaane rah gai bhule se dil mein kaun si hasrat
koi rah rah ke goya chirta hai dil ko nashtar se
hamein mashuq ko apna banana tak nahin aata
banane wale aaina bana lete hain patthar se
zaban se aah nikli dil se nala aankh se aansu
magar ek teri dhun hai jo nikalti hi nahin sar se
are nadan sachcha chahne wala nahin milta
wo laila thi ki jis ko mil gaya majnun muqaddar se
milan-sari bhi sikho jab nigah-e-naz pai hai
meri jaan aadmi aKHlaq se talwar jauhar se
KHuda ki shan matlab-ashna aise bhi hote hain
buton ne ban ke but sajda karaya pahle but-gar se
'safi' ko muskura kar dekh lo ghussa se kya hasil
use tum zahr kyun dete ho jo marta hai shakkar se
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 152)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.