munh hai kuchh utra sa bharrai hui aawaz hai
muñh hai kuchh utrā sā bharrā.ī huī āvāz hai
ḳhair to hai kyā mizāj-e-dushmanāñ nā-sāz hai
kal usī se jañg hai kuchh aaj jis se saaz hai
aur phir tum ko us apnī dostī par naaz hai
ham to dīvāne the jo karte the hairat raat din
ab tum apnī to kaho kyuuñ chashm-e-hairat baaz hai
ham-nashīñ āḳhir ko us ne sun liyā saare gile
maiñ na kahtā thā kisī ke paañv kī āvāz hai
hijr ke saare maze jo the tasavvur se miTe
tum to tum ye bhī sitam-gar ab ḳhalal-andāz hai
pyaar karne ko milā ma.ashūq vo bhī aap sā
āj-kal ham ko bhī apnī āshiqī par naaz hai
ai 'safī' jo aaj tak dekhā sunā sab hech thā
husn hai duniyā meñ achchhī chiiz yā āvāz hai
munh hai kuchh utra sa bharrai hui aawaz hai
KHair to hai kya mizaj-e-dushmanan na-saz hai
kal usi se jang hai kuchh aaj jis se saz hai
aur phir tum ko us apni dosti par naz hai
hum to diwane the jo karte the hairat raat din
ab tum apni to kaho kyun chashm-e-hairat baz hai
ham-nashin aaKHir ko us ne sun liya sare gile
main na kahta tha kisi ke panw ki aawaz hai
hijr ke sare maze jo the tasawwur se miTe
tum to tum ye bhi sitam-gar ab KHalal-andaz hai
pyar karne ko mila mashuq wo bhi aap sa
aaj-kal hum ko bhi apni aashiqi par naz hai
ai 'safi' jo aaj tak dekha suna sab hech tha
husn hai duniya mein achchhi chiz ya aawaz hai
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 171)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.