wahi hota hai jo mahbub ko manzur hota hai
vahī hotā hai jo mahbūb ko manzūr hotā hai
mohabbat karne vaalā har tarah majbūr hotā hai
tirī furqat meñ kuchh to ho nahīñ saktā ġharīboñ se
taḌap lete haiñ un kā jis qadar maqdūr hotā hai
kahīñ jaate haiñ to us kī galī se ho ke jaate haiñ
agarche rāsta us rāste se duur hotā hai
nahīñ rukte ghaḌī bhar tālib-e-dīdār ke aañsū
ye zālim shauq goyā aañkh kā nāsūr hotā hai
baḌā ehsān hogā mere dil kā ḳhuun kar Daalo
yahī majbūr karatā hai yahī majbūr hotā hai
tujhe mash.hūr honā hai to jī bhar kar satā mujh ko
burā.ī se bahut jald aadmī mash.hūr hotā hai
'safī' har-dam taḌapne kī bhalā tāqat kahāñ mujh meñ
zarā un ko satānā bhī kabhī manzūr hotā hai
wahi hota hai jo mahbub ko manzur hota hai
mohabbat karne wala har tarah majbur hota hai
teri furqat mein kuchh to ho nahin sakta gharibon se
taDap lete hain un ka jis qadar maqdur hota hai
kahin jate hain to us ki gali se ho ke jate hain
agarche rasta us raste se dur hota hai
nahin rukte ghaDi bhar talib-e-didar ke aansu
ye zalim shauq goya aankh ka nasur hota hai
baDa ehsan hoga mere dil ka KHun kar Dalo
yahi majbur karata hai yahi majbur hota hai
tujhe mashhur hona hai to ji bhar kar sata mujh ko
burai se bahut jald aadmi mashhur hota hai
'safi' har-dam taDapne ki bhala taqat kahan mujh mein
zara un ko satana bhi kabhi manzur hota hai
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 175)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Goden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.