Sufinama

yahi tewar yahi andaz hain to saKHt mushkil hai

Safi Aurangabadi

yahi tewar yahi andaz hain to saKHt mushkil hai

Safi Aurangabadi

MORE BYSafi Aurangabadi

    yahī tevar yahī andāz haiñ to saḳht mushkil hai

    tumhārī ik javānī saiñkaḌoñ ko āfat-e-dil hai

    nahīñ hai dostī mushkil magar ye saḳht mushkil hai

    hamārā dil hamārā aap dil aap dil hai

    bigāḌā hai mirī jānib se aisā un ko logoñ ne

    kahāñ dād-ḳhvāhī baat tak karnī bhī mushkil hai

    ye liije banda-parvar aap jiite aur maiñ haarā

    ye merā dil nahīñ bas ho chukā ye aap dil hai

    tasavvur meñ kisī ke inhimāk itnā baḌhā apnā

    muḳhātab ho ga.e haiñ jis tarah koī muqābil hai

    tamannā kyā tamannā aarzū kyā aarzū merī

    tabī.at hai tabī.at aap dil aap dil hai

    yahi tewar yahi andaz hain to saKHt mushkil hai

    tumhaari ek jawani sainkaDon ko aafat-e-dil hai

    nahin hai dosti mushkil magar ye saKHt mushkil hai

    hamara dil hamara aap ka dil aap ka dil hai

    bigaDa hai meri jaanib se aisa un ko logon ne

    kahan ki dad-KHwahi baat tak karni bhi mushkil hai

    ye lije banda-parwar aap jite aur main haara

    ye mera dil nahin bas ho chuka ye aap ka dil hai

    tasawwur mein kisi ke inhimak itna baDha apna

    muKHatab ho gae hain jis tarah koi muqabil hai

    tamanna kya tamanna aarzu kya aarzu meri

    tabiat hai tabiat aap ki dil aap ka dil hai

    Source :
    • Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 179)
    • Author : Safi Aurangabadi
    • Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now