aarzu bhi dil mein tark-e-arzu bhi dil mein hai
aarzū bhī dil meñ tark-e-ārzū bhī dil meñ hai
aadmī kī jaan mushkil kyā baḌī mushkil meñ hai
chain tanhā.ī meñ hāsil hai na ab mahfil meñ hai
bas usī meñ dil hai jab se vo hamāre dil meñ hai
hai tamāshā.ī bhī koī to baḌī mushkil meñ hai
aap ke bas meñ hai jab tak aap kī mahfil meñ hai
kyuuñ parāyā maal samjhe vo parā.e maal ko
dost kā dil to hisāb-e-dostāñ dar-e-dil meñ hai
dījiye kushtoñ ko apnī jāñ-nisārī kā silā
tan to har mushkil se chhūTā jaan ab mushkil meñ hai
mehmānī meñ ye jiddat vaah ai hāzir-javāb
sab kī izzat bazm meñ hai merī izzat dil meñ hai
kyā kahūñ maiñ un muazzaz nukta-chīnoñ ko 'safī'
guftugū mahfil se bāhar ḳhāmushī mahfil meñ hai
aarzu bhi dil mein tark-e-arzu bhi dil mein hai
aadmi ki jaan mushkil kya baDi mushkil mein hai
chain tanhai mein hasil hai na ab mahfil mein hai
bas usi mein dil hai jab se wo hamare dil mein hai
hai tamashai bhi koi to baDi mushkil mein hai
aap ke bas mein hai jab tak aap ki mahfil mein hai
kyun paraya mal samjhe wo parae mal ko
dost ka dil to hisab-e-dostan dar-e-dil mein hai
dijiye kushton ko apni jaan-nisari ka sila
tan to har mushkil se chhuTa jaan ab mushkil mein hai
mehmani mein ye jiddat wah ai hazir-jawab
sab ki izzat bazm mein hai meri izzat dil mein hai
kya kahun main un muazzaz nukta-chinon ko 'safi'
guftugu mahfil se bahar KHamushi mahfil mein hai
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 194)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.