jise wo kuchh banana chahta hai
jise vo kuchh banānā chāhtā hai
to pahle dil dukhānā chāhtā hai
vo jab kuchh muskurānā chāhtā hai
har ik apnī sunānā chāhtā hai
baḌī achchhī sahī duniyā se jannat
ḳhushī se kaun jaanā chāhtā hai
na pūchho kyuuñ mohabbat karne vaalā
mohabbat ko chhupānā chāhtā hai
kabhī vo mehrbāñ ho bhī to samjho
kuchh andāzā lagānā chāhtā hai
ghaTā saktā nahīñ koī bhī us ko
ḳhudā jis ko baḌhānā chāhtā hai
ye kyuuñ rah rah ke masjid kā irāda
'safī' kis ko manānā chāhtā hai
jise wo kuchh banana chahta hai
to pahle dil dukhana chahta hai
wo jab kuchh muskurana chahta hai
har ek apni sunana chahta hai
baDi achchhi sahi duniya se jannat
KHushi se kaun jaana chahta hai
na puchho kyun mohabbat karne wala
mohabbat ko chhupana chahta hai
kabhi wo mehrban ho bhi to samjho
kuchh andaza lagana chahta hai
ghaTa sakta nahin koi bhi us ko
KHuda jis ko baDhana chahta hai
ye kyun rah rah ke masjid ka irada
'safi' kis ko manana chahta hai
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 200)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.