wufur-e-dard mein takid hansne muskurane ki
vufūr-e-dard meñ tākīd hañsne muskurāne kī
kahāñ tak ro.e koī haa.e be-dardī zamāne kī
junūñ hai ishq lekin ishq kis kā hosh-mandoñ kā
jo sab kuchh jānte haiñ kyā badī hai aur kyā nekī
na pūchho husn hai yā husn vaalā qābil-e-sajda
zarā laġhzish huī to baat hai īmān jaane kī
bahut dekhā hai kaliyoñ kā tabassum aur dekheñge
kahāñ se aa.egī ye shaan tere muskurāne kī
kyā bad-zan use ab aur mere dost kyā karte
chalī vo chaal rāheñ band kar diiñ aane jaane kī
'safī' dair-o-haram kuchh kam na the shauq-e-parastish ko
magar azmat dikhānī thī kisī ke āstāne kī
'safī' apnī zabāñ roko zamāne kī shikāyat se
bigaḌtī jā rahī hai raat din hālat zamāne kī
wufur-e-dard mein takid hansne muskurane ki
kahan tak roe koi hae be-dardi zamane ki
junun hai ishq lekin ishq kis ka hosh-mandon ka
jo sab kuchh jaante hain kya badi hai aur kya neki
na puchho husn hai ya husn wala qabil-e-sajda
zara laghzish hui to baat hai iman jaane ki
bahut dekha hai kaliyon ka tabassum aur dekhenge
kahan se aaegi ye shan tere muskurane ki
kya bad-zan use ab aur mere dost kya karte
chali wo chaal rahen band kar din aane jaane ki
'safi' dair-o-haram kuchh kam na the shauq-e-parastish ko
magar azmat dikhani thi kisi ke aastane ki
'safi' apni zaban roko zamane ki shikayat se
bigaDti ja rahi hai raat din haalat zamane ki
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 217)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.