mashware kar kar ke logon mein mujhe ruswa kiya
mashvare kar kar ke logoñ meñ mujhe rusvā kiyā
vaah tujh se aas kyā thī aur tū ne kyā kiyā
ab tumhārī dostī ko donoñ hāthoñ se salām
jo huā achchhā huā jo kuchh kiyā achchhā kiyā
ishq kī tāsīr agar ye hai ki ho donoñ taraf
phir ye jo kuchh aaj tak ham ne kiyā to kyā kiyā
dost kā jalva kahāñ vo bad-nasīb āñkheñ kahāñ
jo dikhāyā apnī qismat ne mujhe dekhā kiyā
ham rahe bhī un kī mahfil meñ to bas aise rahe
zabt ne gūñgā banāyā sabr ne andhā kiyā
maiñ burā huuñ ġham nahīñ lekin mere allāh ne
aap ko achchhā banāyā ye bahut achchhā kiyā
ab to jiine kī duā.eñ māñgtā huuñ raat din
ai 'safī' us kī qasam jis ne mujhe paidā kiyā
mashware kar kar ke logon mein mujhe ruswa kiya
wah tujh se aas kya thi aur tu ne kya kiya
ab tumhaari dosti ko donon hathon se salam
jo hua achchha hua jo kuchh kiya achchha kiya
ishq ki tasir agar ye hai ki ho donon taraf
phir ye jo kuchh aaj tak hum ne kiya to kya kiya
dost ka jalwa kahan wo bad-nasib aankhen kahan
jo dikhaya apni qismat ne mujhe dekha kiya
hum rahe bhi un ki mahfil mein to bas aise rahe
zabt ne gunga banaya sabr ne andha kiya
main bura hun gham nahin lekin mere allah ne
aap ko achchha banaya ye bahut achchha kiya
ab to jine ki duaen mangta hun raat din
ai 'safi' us ki qasam jis ne mujhe paida kiya
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 21)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.