mashuq ajab chiz hai de jis ko KHuda de
ma.ashūq ajab chiiz hai de jis ko ḳhudā de
hañste ko rulā de yahī rote ko hañsā de
mash.hūr to ye hai jise jo chāhe ḳhudā de
ham kis se kaheñ dard diyā hai to davā de
phir mujh ko satānā magar ai dīda-e-pur-ḳhūñ
is bazm meñ bhī aaj zarā rañg jamā de
yā maut mujhe aa.e ki ye haal na dekhūñ
yā ai dil-e-bīmār ḳhudā tujh ko shifā de
tasvīr vo tasvīr nazar jis pe fidā ho
āvāz vo āvāz jo kānoñ ko mazā de
haañ apne karam par to bahut naaz hai lekin
terā hī jo tālib ho batā phir use kyā de
tāsīr-e-suḳhan kasb se hāsil nahīñ hotī
ye den ḳhudā kī hai 'safī' jis ko ḳhudā de
mashuq ajab chiz hai de jis ko KHuda de
hanste ko rula de yahi rote ko hansa de
mashhur to ye hai jise jo chahe KHuda de
hum kis se kahen dard diya hai to dawa de
phir mujh ko satana magar ai dida-e-pur-KHun
is bazm mein bhi aaj zara rang jama de
ya maut mujhe aae ki ye haal na dekhun
ya ai dil-e-bimar KHuda tujh ko shifa de
taswir wo taswir nazar jis pe fida ho
aawaz wo aawaz jo kanon ko maza de
han apne karam par to bahut naz hai lekin
tera hi jo talib ho bata phir use kya de
tasir-e-suKHan kasb se hasil nahin hoti
ye den KHuda ki hai 'safi' jis ko KHuda de
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 144)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.