koi arman dil se kya nikle
koī armān dil se kyā nikle
aap is ghar se bārhā nikle
jis pe Daalī nigāh lauT gayā
un ke sab tiir be-ḳhatā nikle
chāhte kyuuñ haiñ sab visāl kī maut
paas vo hoñ to jaan kyā nikle
vo kabhī aa.eñ bhī to kis ko ḳhabar
dil meñ kyā aa.e muñh se kyā nikle
mudda.ā pūchhnā hī chhoḌ diyā
jab vo ḳhud merā mudda.ā nikle
un ko apnī sambhāl dūbhar hai
nāznīnoñ se kaam kyā nikle
mujh ko rone se ho agar taskīñ
dard se dard kī davā nikle
na satāyā karo ġharīboñ ko
kyā ḳhabar kis ke dil se kyā nikle
dil daulat pe hai 'safī' kab se
kaam kuchh to ġharīb kā nikle
koi arman dil se kya nikle
aap is ghar se barha nikle
jis pe Dali nigah lauT gaya
un ke sab tir be-KHata nikle
chahte kyun hain sab visal ki maut
pas wo hon to jaan kya nikle
wo kabhi aaen bhi to kis ko KHabar
dil mein kya aae munh se kya nikle
muddaa puchhna hi chhoD diya
jab wo KHud mera muddaa nikle
un ko apni sambhaal dubhar hai
nazninon se kaam kya nikle
mujh ko rone se ho agar taskin
dard se dard ki dawa nikle
na sataya karo gharibon ko
kya KHabar kis ke dil se kya nikle
dil daulat pe hai 'safi' kab se
kaam kuchh to gharib ka nikle
- Book : Praganda (Pg. 109)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.