chal diya wo rashk-e-mah ghar apna suna ho gaya
chal diyā vo rashk-e-mah ghar apnā suunā ho gayā
chaar din kī chāñdnī thī phir añdherā ho gayā
āshiqī meñ vahm baḌhte baḌhte saudā ho gayā
qatra qatra jam.a hote hote dariyā ho gayā
kyā yahī hai sharm tere bhole-pan ke maiñ nisār
muñh pe donoñ haath rakh lene se pardā ho gayā
kuchh ho lekin mirā dil tum se phirne kā nahīñ
ye to jis kā ho gayā kam-baḳht us kā ho gayā
āshiqī meñ nek-o-bad par aañkh paḌtī hī nahīñ
is balā ne aa liyā jis ko vo andhā ho gayā
dāġh-e-hā-e-hijr bhī haiñ dil meñ ḳhār-e-shauq bhī
baaġh kā baaġh aur ye sahrā kā sahrā ho gayā
merī har ik baat qānūn-e-mohabbat hai magar
ai 'safī' maiñ shā.erī karne se jhūTā ho gayā
chal diya wo rashk-e-mah ghar apna suna ho gaya
chaar din ki chandni thi phir andhera ho gaya
aashiqi mein wahm baDhte baDhte sauda ho gaya
qatra qatra jama hote hote dariya ho gaya
kya yahi hai sharm tere bhole-pan ke main nisar
munh pe donon hath rakh lene se parda ho gaya
kuchh ho lekin mera dil tum se phirne ka nahin
ye to jis ka ho gaya kam-baKHt us ka ho gaya
aashiqi mein nek-o-bad par aankh paDti hi nahin
is bala ne aa liya jis ko wo andha ho gaya
dagh-e-ha-e-hijr bhi hain dil mein KHar-e-shauq bhi
bagh ka bagh aur ye sahra ka sahra ho gaya
meri har ek baat qanun-e-mohabbat hai magar
ai 'safi' main shaeri karne se jhuTa ho gaya
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 30)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.