dil ko hai sab pasand hua jab se tu pasand
dil ko hai sab pasand huā jab se tū pasand
hasrat-pasand ranj-pasand ārzū-pasand
dil kī pasand meñ ho koī kyuuñ sharīk-e-hāl
aisā mo.āmla hai mujhe dū-badū pasand
sab ho magar zabān kā achchhā ho aadmī
hai mujh ko tū pasand nahīñ mujh ko tū pasand
thā ro.ab husn bhī magar andāz shauq dekh
ham ne kiyā hai tujh ko tire rū-ba-rū pasand
vo aañkh aañkh jis ko tire dekhne kā shauq
vo kaan kaan jis ko tirī guftugū pasand
kyuuñ dostoñ se tālib-e-izzat hai ai 'safī'
tū ḳhūb-rū pasand hai yā aabrū pasand
dil ko hai sab pasand hua jab se tu pasand
hasrat-pasand ranj-pasand aarzu-pasand
dil ki pasand mein ho koi kyun sharik-e-haal
aisa moamla hai mujhe du-badu pasand
sab ho magar zaban ka achchha ho aadmi
hai mujh ko tu pasand nahin mujh ko tu pasand
tha roab husn bhi magar andaz shauq dekh
hum ne kiya hai tujh ko tere ru-ba-ru pasand
wo aankh aankh jis ko tere dekhne ka shauq
wo kan kan jis ko teri guftugu pasand
kyun doston se talib-e-izzat hai ai 'safi'
tu KHub-ru pasand hai ya aabru pasand
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 56)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.