jawani nahin ban sanwarne ke din
javānī nahīñ ban sañvarne ke din
jhijhakne kī rāteñ haiñ Darne ke din
ayādat ko vo aake ye kah gayā
abhī duur haiñ tere marne ke din
tasadduq tire bad-gumānī-e-ishq
safā.ī hue un se marne ke din
tumhāre na milne se kyā ho gayā
guzar hī rahe haiñ guzarne ke din
shabāb aur phir dilbaroñ kā shabāb
nigāhoñ ke sadqe utarne ke din
kisī kī ināyāt kā daur haaye
vo bātoñ meñ rāteñ guzarne ke din
javānī ga.ī aur le kar ga.ī
kisī baat se jī na bharne ke din
na bhūleñge jannat meñ bhī ye samāñ
kisī kā shabāb apne marne ke din
ġhanīmat hai sāheb salāmat terī
rahe ab kahāñ baat karne ke din
mirī shakl se koī be-zār hai
ye jiine ke din haiñ na marne ke din
'safī' ab zamāna hai nāzuk bahut
ye haiñ apne saa.e se Darne ke din
jawani nahin ban sanwarne ke din
jhijhakne ki raaten hain Darne ke din
ayaadat ko wo aake ye kah gaya
abhi dur hain tere marne ke din
tasadduq tere bad-gumani-e-ishq
safai hue un se marne ke din
tumhaare na milne se kya ho gaya
guzar hi rahe hain guzarne ke din
shabab aur phir dilbaron ka shabab
nigahon ke sadqe utarne ke din
kisi ki inayat ka daur haye
wo baaton mein raaten guzarne ke din
jawani gai aur le kar gai
kisi baat se ji na bharne ke din
na bhulenge jannat mein bhi ye saman
kisi ka shabab apne marne ke din
ghanimat hai saheb salamat teri
rahe ab kahan baat karne ke din
meri shakl se koi be-zar hai
ye jine ke din hain na marne ke din
'safi' ab zamana hai nazuk bahut
ye hain apne sae se Darne ke din
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 78)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.