kya karishme the tere didar mein
kyā karishme the tire dīdār meñ
ham tamāsha ban ga.e bāzār meñ
dil ne kyā dekhā nigāh-e-yār meñ
rañj kī bāteñ bhī kah diiñ pyaar meñ
haaye ab samjhe to kyā samjhe koī
laakh pahlū haiñ tire iqrār meñ
ai dil apne dekhne vāloñ ko dekh
kyā udhar hai rauzan-e-dīvār meñ
aap rūThe haiñ to ham bhī haiñ ḳhafā
qaul meñ vo thā na ye iqrār meñ
dost dushman ho ki apnā ho ki ġhair
ek haiñ sab aap kī sarkār meñ
āshiqī se kar le tauba ai 'safī'
husn ab bikne lagā bāzār meñ
kya karishme the tere didar mein
hum tamasha ban gae bazar mein
dil ne kya dekha nigah-e-yar mein
ranj ki baaten bhi kah din pyar mein
haye ab samjhe to kya samjhe koi
lakh pahlu hain tere iqrar mein
ai dil apne dekhne walon ko dekh
kya udhar hai rauzan-e-diwar mein
aap ruThe hain to hum bhi hain KHafa
qaul mein wo tha na ye iqrar mein
dost dushman ho ki apna ho ki ghair
ek hain sab aap ki sarkar mein
aashiqi se kar le tauba ai 'safi'
husn ab bikne laga bazar mein
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 97)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.