unhen aashiq kaha karte hain jo be-maut marte hain
unheñ āshiq kahā karte haiñ jo be-maut marte haiñ
nahīñ ma.alūm pahle ye kinā.e kis ne barte haiñ
sañvartā dekh kar un ko mujhe armān hotā hai
ilāhī is tarah mere muqaddar kab sañvarte haiñ
kisī ke dil se ham utare to samjhe chaḌh bhī jā.eñge
kareñ kyā fikr dariyā bhī to chaḌhte haiñ utarte haiñ
kahāñ vo dard jo hotā hai ahlullāh ke dil meñ
kahāñ vo naala jis se arsh ke paaye udhaḌte haiñ
jo un ke kaan bharte haiñ hamāre zaḳhm kyuuñ bharte
masal mash.hūr hai sab log bhartoñ hī ko bharte haiñ
mazā kaisā na deñge dhamkiyāñ tark-e-mohabbat kī
Darāte haiñ 'safī' ko apne saa.e se jo Darte haiñ
unhen aashiq kaha karte hain jo be-maut marte hain
nahin malum pahle ye kinae kis ne barte hain
sanwarta dekh kar un ko mujhe arman hota hai
ilahi is tarah mere muqaddar kab sanwarte hain
kisi ke dil se hum utare to samjhe chaDh bhi jaenge
karen kya fikr dariya bhi to chaDhte hain utarte hain
kahan wo dard jo hota hai ahlullah ke dil mein
kahan wo nala jis se arsh ke paye udhaDte hain
jo un ke kan bharte hain hamare zaKHm kyun bharte
masal mashhur hai sab log bharton hi ko bharte hain
maza kaisa na denge dhamkiyan tark-e-mohabbat ki
Daraate hain 'safi' ko apne sae se jo Darte hain
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 104)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.