use sab log zalim be-wafa qatil samajhte hain
use sab log zālim be-vafā qātil samajhte haiñ
magar ham haiñ ki apnī jaan apnā dil samajhte haiñ
hazār afsos ham apne ko kis qābil samajhte haiñ
ki vo to be-kahe bhī ārzū-e-dil samajhte haiñ
jo koī tum pe martā aur tum par jaan detā hai
ta.ajjub hai usī ko log zinda-dil samajhte haiñ
na samjheñ to na samjheñ husn vaale dard-e-dil merā
mere allāh ne jin ko diyā hai dil samajhte haiñ
ilāhī kaun sī shai tuune rakhī hai hasīnoñ meñ
ki un ko log apnī jaan apnā dil samajhte haiñ
kabhī fursat se socheñge ki us kā hashr kyā hogā
abhī ham ek kāfir dil ko apnā dil samajhte haiñ
kisī ko koī kyā degā kisī se koī kyā legā
'safī' ham to hisāb-e-dostāñ dar dil samajhte haiñ
use sab log zalim be-wafa qatil samajhte hain
magar hum hain ki apni jaan apna dil samajhte hain
hazar afsos hum apne ko kis qabil samajhte hain
ki wo to be-kahe bhi aarzu-e-dil samajhte hain
jo koi tum pe marta aur tum par jaan deta hai
tajjub hai usi ko log zinda-dil samajhte hain
na samjhen to na samjhen husn wale dard-e-dil mera
mere allah ne jin ko diya hai dil samajhte hain
ilahi kaun si shai tune rakhi hai hasinon mein
ki un ko log apni jaan apna dil samajhte hain
kabhi fursat se sochenge ki us ka hashr kya hoga
abhi hum ek kafir dil ko apna dil samajhte hain
kisi ko koi kya dega kisi se koi kya lega
'safi' hum to hisab-e-dostan dar dil samajhte hain
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 108)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.