jab hui hai parwarish meri jigar-daron ke bich
jab hui hai parwarish meri jigar-daron ke bich
Sagheer Ahmad Farogh
MORE BYSagheer Ahmad Farogh
jab huī hai parvarish merī jigar-dāroñ ke biich
Dar ke rah saktā huuñ kaise maiñ sitam-gāroñ ke biich
ahl-e-haq karte nahīñ parvāh kabhī bhī jaan kī
vo namāzeñ paḌh liyā karte haiñ talvāroñ ke biich
zindagī kyā kyā sitam Dhātī hai ik insān par
baiTh kar dekho kabhī hālāt ke māroñ ke biich
kyuuñ sajā.e jā rahe haiñ gul janāze par mire
har qadam guzrī hai merī umr jab ḳhāroñ ke biich
khol de rahmat ke darvāze ḳhudā mere liye
likh de merā naam bhī jannat ke haq-dāroñ ke biich
sach pe parda Daal kar jo jhuuT ko tarjīh deñ
baiThne se fā.eda kyā aise sardāroñ ke biich
saañp bāhar āstīnoñ ke nikal aa.e 'faroġh'
sun ke mere sandalī ash.ār makkāroñ ke biich
jab hui hai parwarish meri jigar-daron ke bich
Dar ke rah sakta hun kaise main sitam-garon ke bich
ahl-e-haq karte nahin parwah kabhi bhi jaan ki
wo namazen paDh liya karte hain talwaron ke bich
zindagi kya kya sitam Dhati hai ek insan par
baiTh kar dekho kabhi haalat ke maron ke bich
kyun sajae ja rahe hain gul janaze par mere
har qadam guzri hai meri umr jab KHaron ke bich
khol de rahmat ke darwaze KHuda mere liye
likh de mera nam bhi jannat ke haq-daron ke bich
sach pe parda Dal kar jo jhuT ko tarjih den
baiThne se faeda kya aise sardaron ke bich
sanp bahar aastinon ke nikal aae 'farogh'
sun ke mere sandali ashaar makkaron ke bich
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 75)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.