jo yatimon pe mohabbat ki nazar rakhte hain
jo yatimon pe mohabbat ki nazar rakhte hain
Sagheer Ahmad Farogh
MORE BYSagheer Ahmad Farogh
jo yatīmoñ pe mohabbat kī nazar rakhte haiñ
apne dāman meñ vo anmol guhar rakhte haiñ
ye alag baat hai shikvā nahīñ karte lekin
har sitam aap kā ham zer-e-nazar rakhte haiñ
ḳhaar rāhoñ meñ bichhā kar na Darāo ham ko
ham to sho.aloñ pe bhī chalne kā hunar rakhte haiñ
vo nahīñ Darte zamāne ke sitam-gāroñ se
apne siine meñ jo sheroñ kā jigar rakhte haiñ
dhuup ḳhud oḌh ke dete haiñ jo ham ko saaya
kis qadar fikr hamārī ye shajar rakhte haiñ
naaz hai tum ko to hai fakHr hameñ bhī ḳhud par
husn tum rakhte ho ham husn-e-nazar rakhte haiñ
le ke sāhil pe safīne ko pahuñchte haiñ vahī
apne dil meñ jo faroġh-e-’azm-e-safar rakhte haiñ
jo yatimon pe mohabbat ki nazar rakhte hain
apne daman mein wo anmol guhar rakhte hain
ye alag baat hai shikwa nahin karte lekin
har sitam aap ka hum zer-e-nazar rakhte hain
KHar rahon mein bichha kar na Darao hum ko
hum to shoalon pe bhi chalne ka hunar rakhte hain
wo nahin Darte zamane ke sitam-garon se
apne sine mein jo sheron ka jigar rakhte hain
dhup KHud oDh ke dete hain jo hum ko saya
kis qadar fikr hamari ye shajar rakhte hain
naz hai tum ko to hai fakHr hamein bhi KHud par
husn tum rakhte ho hum husn-e-nazar rakhte hain
le ke sahil pe safine ko pahunchte hain wahi
apne dil mein jo farogh-e-’azm-e-safar rakhte hain
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 82)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.