sahar-e-chaman mein gulon ki hansi bhi kaam aai
sahar-e-chaman mein gulon ki hansi bhi kaam aai
Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
sahar-e-chaman meñ guloñ kī hañsī bhī kaam aa.ī
magar nasīm kī āshuftagī bhī kaam aa.ī
mahak rahā hai tirā husn-e-be-rukHī us meñ
hamāre dil kī fasurda kalī bhī kaam aa.ī
vo husn dekh liyā tujh meñ jo na thā tujh meñ
mirī nigāh kī nā-āgahī bhī kaam aa.ī
junūñ sahī ye mirā tark-e-ārzū lekin
mire junūñ meñ tirī be-ruḳhī bhī kaam aa.ī
rah-e-ġhalat pe qadam rakh ke lauT aayā huuñ
kabhī kabhī mirī kam-himmatī bhī kaam aa.ī
vahāñ mile vo jahāñ kā mujhe gumāñ bhī na thā
mirā junūn-e-āvārgī bhī kaam aa.ī
mirī talab se ziyāda milā mujhe 'maikash'
dam-e-savāl mirī ḳhāmoshī bhī kaam aa.ī
sahar-e-chaman mein gulon ki hansi bhi kaam aai
magar nasim ki aashuftagi bhi kaam aai
mahak raha hai tera husn-e-be-rukHi us mein
hamare dil ki fasurda kali bhi kaam aai
wo husn dekh liya tujh mein jo na tha tujh mein
meri nigah ki na-agahi bhi kaam aai
junun sahi ye mera tark-e-arzu lekin
mere junun mein teri be-ruKHi bhi kaam aai
rah-e-ghalat pe qadam rakh ke lauT aaya hun
kabhi kabhi meri kam-himmati bhi kaam aai
wahan mile wo jahan ka mujhe guman bhi na tha
mera junun-e-awargi bhi kaam aai
meri talab se ziyaada mila mujhe 'maikash'
dam-e-sawal meri KHamoshi bhi kaam aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.