puchhte hain mujhse wo akbar tumhein ye kya hua
puchhte hain mujhse wo akbar tumhein ye kya hua
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
pūchhte haiñ mujh se vo 'akbar' tumheñ ye kyā huā
koī kah de hai ye bismil aap kā maarā huā
aaj merī hasratoñ ne bhī kiyā mujh ko salām
kaise kaise dostoñ se mar ke meñ tanhā huā
hazrat-e-mūsā haiñ be-ḳhud tuur jal kar ḳhaak hai
be-niyāzī ke karishme haiñ ye dekho kyā huā
qatl kar ke mujh se farmāyā ye hai anjām-e-ishq
kah diyā maiñ ne bhī haañ jo kuchh huā achchhā huā
bhej de is kā banāne vaalā koī ai ḳhudā
ek muddat se paḌā hai dil mirā TuuTā huā
marte dam mujh se judā hotā hai merā dard-e-dil
mujh ko tanhā chhoḌtā hai ye mirā paalā huā
aadmī vo bhī thā kahte the jise fir.aun sab
vo bhī the insān hī jin kā laqab muusā huā
ḳhaak sab kī asal hai fitrat bhī sab kī ek hai
ye hai qudrat jis ko jaisā kah diyā vaisā huā
fitratan the ek ham donoñ magar hukm-e-ḳhudā
vo to rashk-e-gul hue maiñ akbar-e-shaidā huā
puchhte hain mujh se wo 'akbar' tumhein ye kya hua
koi kah de hai ye bismil aap ka mara hua
aaj meri hasraton ne bhi kiya mujh ko salam
kaise kaise doston se mar ke mein tanha hua
hazrat-e-musa hain be-KHud tur jal kar KHak hai
be-niyazi ke karishme hain ye dekho kya hua
qatl kar ke mujh se farmaya ye hai anjam-e-ishq
kah diya main ne bhi han jo kuchh hua achchha hua
bhej de is ka banane wala koi ai KHuda
ek muddat se paDa hai dil mera TuTa hua
marte dam mujh se juda hota hai mera dard-e-dil
mujh ko tanha chhoDta hai ye mera pala hua
aadmi wo bhi tha kahte the jise firaun sab
wo bhi the insan hi jin ka laqab musa hua
KHak sab ki asal hai fitrat bhi sab ki ek hai
ye hai qudrat jis ko jaisa kah diya waisa hua
fitratan the ek hum donon magar hukm-e-KHuda
wo to rashk-e-gul hue main akbar-e-shaida hua
- Book : Jazbaat-e-Akbar (Pg. 23)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.