kya batae koi usko ki kahan rahta hai
kyā batā.e koī us ko ki kahāñ rahtā hai
nuur āñkhoñ kā hai āñkhoñ meñ nihāñ rahtā hai
mere hī dil meñ hai mujh se hī nahīñ miltā vo
ruuh ban kar rag-e-jāñ meñ jo nihāñ rahtā hai
saarī duniyā ko tasavvur hai tire aariz kā
har nazar meñ yahī ā.īna nihāñ rahtā hai
mere ashkoñ kī ravānī na rukī roke se
yahī dariyā hai jo har vaqt ravāñ rahtā hai
dam farishtoñ kā ghuTā kyuuñ na zamīñ par utreñ
āsmāñ par mirī aahoñ kā dhuāñ rahtā hai
mujh se kyā pūchhte haiñ aap pata 'akbar' kā
mard-e-āvāra hai kyā jaane kahāñ rahtā hai
kya batae koi us ko ki kahan rahta hai
nur aankhon ka hai aankhon mein nihan rahta hai
mere hi dil mein hai mujh se hi nahin milta wo
ruh ban kar rag-e-jaan mein jo nihan rahta hai
sari duniya ko tasawwur hai tere aariz ka
har nazar mein yahi aaina nihan rahta hai
mere ashkon ki rawani na ruki roke se
yahi dariya hai jo har waqt rawan rahta hai
dam farishton ka ghuTa kyun na zamin par utren
aasman par meri aahon ka dhuan rahta hai
mujh se kya puchhte hain aap pata 'akbar' ka
mard-e-awara hai kya jaane kahan rahta hai
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 140)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.