kaam ke donon hain par donon hain ai yar abas
kaam ke donon hain par donon hain ai yar abas
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
kaam ke donoñ haiñ par donoñ haiñ ai yaar abas
kufr meñ sub.ha abas diin meñ zunnār abas
laḌe marte haiñ yuuñ hī kāfir-o-dīñdā abas
un kī ranjish hai abas un kī hai takrār abas
pagḌī ban jaaye na mai-ḳhvāroñ kī dastār-e-sharīf
mohtasib karte ho mai-noshoñ se takrār abas
na kamar us kī nazar aa.e sābit ho dahan
guftugū us meñ abas us meñ hai takrār abas
bāġh-e-duniyā meñ jo aa.e to yahī phal paayā
ho ga.e ham se subuk-dosh girāñ-bār abas
hai tire ḳhūn-e-jigar se nahīñ kam bāda-e-nāb
tū na ho saath to hai sair-e-chaman yaar abas
dām-e-gesū se rihā.ī ho to pahuñchūñ tujh tak
fikr merī hai mujhe halqa-e-zunnār abas
ek din bhī na mire dil ke phaphūle TuuTe
nok kī letī hai mizhgāñ sifat-e-ḳhār abas
qatl-e-ushshāq ko kyā jumbish-e-abrū kam hai
dast-e-nāzuk meñ hai ye nīmcha ai yaar abas
rahmat-e-sāqī-e-kausar hai shafā.at ke liye
mai-kasho chhoḌte ho ḳhāna-e-ḳhumār abas
haamī un ke haiñ shafī-e-do-jahāñ ai 'akbar'
Darte haiñ mālik-e-dozaḳh se gunahgār abas
kaam ke donon hain par donon hain ai yar abas
kufr mein subha abas din mein zunnar abas
laDe marte hain yun hi kafir-o-dinda abas
un ki ranjish hai abas un ki hai takrar abas
pagDi ban jaye na mai-KHwaron ki dastar-e-sharif
mohtasib karte ho mai-noshon se takrar abas
na kamar us ki nazar aae sabit ho dahan
guftugu us mein abas us mein hai takrar abas
bagh-e-duniya mein jo aae to yahī phal paya
ho gae hum se subuk-dosh giran-bar abas
hai tere KHun-e-jigar se nahin kam baada-e-nab
tu na ho sath to hai sair-e-chaman yar abas
dam-e-gesu se rihai ho to pahunchun tujh tak
fikr meri hai mujhe halqa-e-zunnar abas
ek din bhi na mere dil ke phaphule TuTe
nok ki leti hai mizhgan sifat-e-KHar abas
qatl-e-ushshaq ko kya jumbish-e-abru kam hai
dast-e-nazuk mein hai ye nimcha ai yar abas
rahmat-e-saqi-e-kausar hai shafaat ke liye
mai-kasho chhoDte ho KHana-e-KHumar abas
hami un ke hain shafi-e-do-jahan ai 'akbar'
Darte hain malik-e-dozaKH se gunahgar abas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.