nau-ratan bazu pe jab wo bandh mah-e-paikar uTha
nau-ratan baazū pe jab vo bāñdh mah-e-paikar uThā
lailī-e-shab ne rakhā parvīñ kā phir jhūmar uThā
dekhne ko to na ā.īna but-e-kāfir uThā
darmiyāñ bahr-e-ḳhudā mat sad askandar uThā
qad-e-mauzūñ jab ki dikhlāne mirā dilbar uThā
sāhab-e-takbīr qad-qāmat hī phir kah kar uThā
chashm-e-nam aur ḳhushk-lab maiñ saath kyā le kar uThā
aaj kūche se tire sultān-e-bahar-o-bar uThā
chashm-e-mast-e-yār ko Dartā huuñ dil dete hue
hai ye shīsha pheñk de us ko na patthar par uThā
hai nago-sārī bhī saath ai mardum-e-duniyāy-e-dūñ
shakl-e-favvāra na apne auj par tū sar uThā
rāt-din terā tasavvur thā unheñ ai ḳhār-e-chashm
kyā gunah āñkheñ mirī talvoñ se kyuuñ mil kar uThā
dekhiye kyā sar pe ho āsūdgān-e-ḳhāk ke
aaj phir vo fitna-e-barpā-kun-e-mahshar uThā
mere hote ġhair kī jānib tire abrū hileñ
dostī bālā-e-tāq apnī rakh ai dilbar uThā
ek shab tū baiTh mere halqa-e-āġhosh meñ
yār-e-mah-paikar qadam haale se mat bāhar uThā
gar yahī terī nahīñ hai jān-e-man to ham nahīñ
haañ bhī kar harf-e-nahīñ lab se suḳhan-parvar uThā
apne kushte ko jalāyā tū ne ik Thokar se jab
charḳh-e-chārum ko masīhā chhoḌ ye sun kar uThā
āqibat hotā hai rutba mard-e-haq-go kā buland
daar par hī chaḌh ke haañ mansūr bālā-tar uThā
huuñ marīz-e-chashm us kā us se hai taskīn-e-dil
bāġhbāñ mat sāmne se dasta-e-ab.har uThā
nau-ratan bazu pe jab wo bandh mah-e-paikar uTha
laili-e-shab ne rakha parwin ka phir jhumar uTha
dekhne ko to na aaina but-e-kafir uTha
darmiyan bahr-e-KHuda mat sad askandar uTha
qad-e-mauzun jab ki dikhlane mera dilbar uTha
sahab-e-takbir qad-qamat hi phir kah kar uTha
chashm-e-nam aur KHushk-lab main sath kya le kar uTha
aaj kuche se tere sultan-e-bahar-o-bar uTha
chashm-e-mast-e-yar ko Darta hun dil dete hue
hai ye shisha phenk de us ko na patthar par uTha
hai nago-sari bhi sath ai mardum-e-duniyay-e-dun
shakl-e-fawwara na apne auj par tu sar uTha
raat-din tera tasawwur tha unhen ai KHar-e-chashm
kya gunah aankhen meri talwon se kyun mil kar uTha
dekhiye kya sar pe ho aasudgan-e-KHak ke
aaj phir wo fitna-e-barpa-kun-e-mahshar uTha
mere hote ghair ki jaanib tere abru hilen
dosti baala-e-taq apnī rakh ai dilbar uTha
ek shab tu baiTh mere halqa-e-aghosh mein
yar-e-mah-paikar qadam haale se mat bahar uTha
gar yahī teri nahin hai jaan-e-man to hum nahin
han bhi kar harf-e-nahin lab se suKHan-parwar uTha
apne kushte ko jalaya tu ne ek Thokar se jab
charKH-e-chaarum ko masiha chhoD ye sun kar uTha
aaqibat hota hai rutba mard-e-haq-go ka buland
dar par hi chaDh ke han mansur baala-tar uTha
hun mariz-e-chashm us ka us se hai taskin-e-dil
baghban mat samne se dasta-e-abhar uTha
- Book : Kulliyat-e-Shah Naseer Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 354)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.