Tuk samajh kar to lagao lat han bahr-e-KHuda
Tuk samajh kar to lagāo laat haañ bahr-e-ḳhudā
ye kunisht dil hai dekho ai butāñ bahr-e-ḳhudā
baaġh meñ gir mar bhī jā۔ūñ is qad mauzūñ ko dekh
rakhiyo zer-e-sarv mujh ko bāġhbāñ bahr-e-ḳhudā
ek ham bhī haiñ tire halqa-ba-goshoñ meñ yahāñ
phir na jaanā ham se ai abrū-kamāñ bahr-e-ḳhudā
ruḳh pe har sūrat se rakhnā gul-ruḳhāñ ḳhat kā hai kufr
dekho qur.āñ par na rakhiyo bostāñ bahr-e-ḳhudā
do qadam par rah ga.ī hai manzil-e-maqsūd aah
chhoḌ kar tanhā na jaao ham-rahāñ bahr-e-ḳhudā
ḳhāna-e-chashm us ke sab rahne kī ḳhātir chhoḌ do
dīda-o-dānista uThiyo mardumāñ bahar-e-ḳhudā
nāma-e-laḳht-e-dil us be-dīd tak pahuñchā mirā
aaj phir ai qāsid-e-ashk-e-ravāñ bahar-e-ḳhudā
abrū-o-mizhgāñ se us ke is qadar kāvish na kar
ik ḳhadañg-e-āh se ai dil yahāñ bahar-e-ḳhudā
ḳhanjar-o-shamshīr tak naubat na pahuñchā jañg kī
sulh kā mazkūr lā ab darmiyāñ bahar-e-ḳhudā
kab bin us ārām-e-jāñ ke jī ko yaañ aatā hai chain
le chal ai betābī-e-dil phir vahāñ bahar-e-ḳhudā
ban gayā dil hī nishāna aah par tū ne na kī
nāvak-e-mizhgāñ se thī ḳhātir-nishāñ bahr-e-ḳhudā
fikr-e-zād-e-rāh hai kuchh tujh ko bhī haañ ai 'nasīr'
umr ko ġhaflat meñ mat kho rā.egāñ bahr-e-ḳhudā
Tuk samajh kar to lagao lat han bahr-e-KHuda
ye kunisht dil hai dekho ai butan bahr-e-KHuda
bagh mein gir mar bhi ja۔un is qad mauzun ko dekh
rakhiyo zer-e-sarw mujh ko baghban bahr-e-KHuda
ek hum bhi hain tere halqa-ba-goshon mein yahan
phir na jaana hum se ai abru-kaman bahr-e-KHuda
ruKH pe har surat se rakhna gul-ruKHan KHat ka hai kufr
dekho quran par na rakhiyo bostan bahr-e-KHuda
do qadam par rah gai hai manzil-e-maqsud aah
chhoD kar tanha na jao ham-rahan bahr-e-KHuda
KHana-e-chashm us ke sab rahne ki KHatir chhoD do
dida-o-danista uThiyo marduman bahar-e-KHuda
nama-e-laKHt-e-dil us be-did tak pahuncha mera
aaj phir ai qasid-e-ashk-e-rawan bahar-e-KHuda
abru-o-mizhgan se us ke is qadar kawish na kar
ek KHadang-e-ah se ai dil yahan bahar-e-KHuda
KHanjar-o-shamshir tak naubat na pahuncha jang ki
sulh ka mazkur la ab darmiyan bahar-e-KHuda
kab bin us aaram-e-jaan ke ji ko yan aata hai chain
le chal ai betabi-e-dil phir wahan bahar-e-KHuda
ban gaya dil hi nishana aah par tu ne na ki
nawak-e-mizhgan se thi KHatir-nishan bahr-e-KHuda
fikr-e-zad-e-rah hai kuchh tujh ko bhi han ai 'nasir'
umr ko ghaflat mein mat kho raegan bahr-e-KHuda
- Book : Kulliyat-e-Shah Naseer Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 197)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.