itna na fareb-e-ulfat mein ye jazba-e-kaamil aa jae
itnā na fareb-e-ulfat meñ ye jazba-e-kāmil aa jaa.e
har gaam qarīb-e-manzil ho har gaam pe manzil aa jaa.e
jalvoñ kī numā.ish hai us meñ ḳhud un kī rihā.ish hai us meñ
ab vādī-e-aiman se kah do is dil ke muqābil aa jaa.e
itnī to 'atā ho jāneñ itne to 'atā hoñ dil mujh ko
har naaz pe ik jaañ qurbāñ ho har ġhamze pe ik dil aa jaa.e
ye terī nazar kī rañgīnī ye tere qadam kī rā'nā.ī
jis rañg pe saaqī tū chāhe us rañg pe mahfil aa jaa.e
be-dād mohabbat kā ai dil mahshar meñ mazā aa jā.egā
ik samt se maiñ huuñ dād-talab ik samt se qātil aa jaa.e
ai ḳhizr kisī ne duniyā meñ aisā bhī safīna dekhā hai
har mauj se sāhil paidā ho har mauj meñ sāhil aa jaa.e
ai 'ishq kī vus'at kyā kahnā ai shauq-e-shahādat kyā kahnā
‘qātil’ hī taḌap kar maqtal meñ ḳhud sūrat-e-bismil aa jaa.e
itna na fareb-e-ulfat mein ye jazba-e-kaamil aa jae
har gam qarib-e-manzil ho har gam pe manzil aa jae
jalwon ki numaish hai us mein KHud un ki rihaish hai us mein
ab wadi-e-aiman se kah do is dil ke muqabil aa jae
itni to 'ata ho jaanen itne to 'ata hon dil mujh ko
har naz pe ek jaan qurban ho har ghamze pe ek dil aa jae
ye teri nazar ki rangini ye tere qadam ki ra'nai
jis rang pe saqi tu chahe us rang pe mahfil aa jae
be-dad mohabbat ka ai dil mahshar mein maza aa jaega
ek samt se main hun dad-talab ek samt se qatil aa jae
ai KHizr kisi ne duniya mein aisa bhi safina dekha hai
har mauj se sahil paida ho har mauj mein sahil aa jae
ai 'ishq ki wus'at kya kahna ai shauq-e-shahadat kya kahna
‘qatil’ hi taDap kar maqtal mein KHud surat-e-bismil aa jae
- Book : Deewan-e-Qatil (Pg. 302)
- Author : Shaah Qatil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.