faza badli hui thi aalam-e-hasti ke gulshan ki
fazā badlī huī thī 'ālam-e-hastī ke gulshan kī
mujhe jab hosh meñ lā.īñ havā.eñ un ke dāman kī
koī mere sivā samjhā na ramz us chashm-e-pur-fan kī
hamesha kashmakash chaltī rahī shaiḳh-o-barhaman kī
bachchī jo bijliyoñ ke baad ḳhākistar vo baaqī thī
koī hai.at na thī mere nasheman meñ nasheman kī
ilāhī kaun vo mahv-e-ḳhirām-e-nāz hai jis se
fazā.eñ mast hotī jā rahī haiñ aaj gulshan kī
kisī sūrat nahīñ khultā guloñ kā raaz bulbul par
khulī hai aañkh nargis kī zabāñ hai band sosan kī
na ho shāmil agar husn-e-nazara-soz kī fitrat
kareñgī ḳhud hifāzat bijliyāñ mere nasheman kī
baḌhī haiñ nāḳhun vahshat kī chīra dastiyāñ itnī
garebāñ purze purze ho chukā ab ḳhair dāman kī
mirī turbat pe yārab kaun ye mahshar ḳhirām aayā
ki miTTī ḳhud-baḳhud uḌne lagī hai mere madfan kī
vafāoñ meñ to ai 'qātil' nahīñ fariyād kī vus'at
nikālo ab na.ī tarz-e-fuġhāñ nāloñ ke shevan kī
faza badli hui thi 'alam-e-hasti ke gulshan ki
mujhe jab hosh mein lain hawaen un ke daman ki
koi mere siwa samjha na ramz us chashm-e-pur-fan ki
hamesha kashmakash chalti rahi shaiKH-o-barhaman ki
bachchi jo bijliyon ke baad KHakistar wo baqi thi
koi haiat na thi mere nasheman mein nasheman ki
ilahi kaun wo mahw-e-KHiram-e-naz hai jis se
fazaen mast hoti ja rahi hain aaj gulshan ki
kisi surat nahin khulta gulon ka raaz bulbul par
khuli hai aankh nargis ki zaban hai band sosan ki
na ho shamil agar husn-e-nazara-soz ki fitrat
karengi KHud hifazat bijliyan mere nasheman ki
baDhi hain naKHun wahshat ki chira dastiyan itni
gareban purze purze ho chuka ab KHair daman ki
meri turbat pe yarab kaun ye mahshar KHiram aaya
ki miTTi KHud-baKHud uDne lagi hai mere madfan ki
wafaon mein to ai 'qatil' nahin fariyaad ki wus'at
nikalo ab nai tarz-e-fughan nalon ke shewan ki
- Book : Deewan-e-Qatil (Pg. 298)
- Author : Shaah Qatil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.