na aaya kya sabab ab alag raha dil-e-intizar aaKHir
na aayā kyā sabab ab alag rahā dil-e-intizār āḳhir
jahāñ hove vahāñ jā kar mujhne honā nisār āḳhir
ba-hāl-e-ḳhasta dīvāna mujhe baiThā to rahne dev
kabhū to is galī āvegā o rañgīñ-nigār āḳhir
chalā aatā hai jo sayyād-e-zālim dām-e-gesū le
ki shāyad āhū-e-dil kuuñ karegā o shikār āḳhir
sarāpā ġharqe-e-isyāñ huuñ giraftār-e-ḳhajālat huuñ
na jaano kyā karegā tuuñ mirā anjām-e-kār āḳhir
kahīñ hastī mane hargiz Thikāna to nahīñ dastā
magar dastā Thikāna hai mujhe dārul-bavār āḳhir
sanam jis vaqt pūchhegā ki kyā laayā mirī ḳhātir
mujhe honā lagegā tab nihāyat sharmsār āḳhir
bhalā bil-farz val-taqdīr be-shak dozaḳhī huuñ maiñ
ba-har-sūrat kalātā huuñ ġhulām-e-hasht-o-chār āḳhir
gunah kuchh hor bhī karnā to kar le aarzū mat rakh
nahīñ tere gunāhāñ kuuñ to kachchā hadd-o-shumār āḳhir
badal shāh-e-najaf kā tuuñ 'turābī' naqsh-e-pā ho rah
karegā tujh kuuñ baḳhshā.ish shah-e-duldul-savār āḳhir
na aaya kya sabab ab alag raha dil-e-intizar aaKHir
jahan howe wahan ja kar mujhne hona nisar aaKHir
ba-haal-e-KHasta diwana mujhe baiTha to rahne dew
kabhu to is gali aawega o rangin-nigar aaKHir
chala aata hai jo sayyaad-e-zalim dam-e-gesu le
ki shayad aahu-e-dil kun karega o shikar aaKHir
sarapa gharqe-e-isyan hun giraftar-e-KHajalat hun
na jaano kya karega tun mera anjam-e-kar aaKHir
kahin hasti mane hargiz Thikana to nahin dasta
magar dasta Thikana hai mujhe darul-bawar aaKHir
sanam jis waqt puchhega ki kya laya meri KHatir
mujhe hona lagega tab nihayat sharmsar aaKHir
bhala bil-farz wal-taqdir be-shak dozaKHi hun main
ba-har-surat kalata hun ghulam-e-hasht-o-chaar aaKHir
gunah kuchh hor bhi karna to kar le aarzu mat rakh
nahin tere gunahan kun to kachcha hadd-o-shumar aaKHir
badal shah-e-najaf ka tun 'turabi' naqsh-e-pa ho rah
karega tujh kun baKHshaish shah-e-duldul-sawar aaKHir
- Book : Diwan-e-turab (Pg. 219)
- Author : Shah Turab Ali Dakani
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.