malamat-pesha-o-jadu-nayan tha
malāmat-pesha-o-jādū-nayan thā
dil-e-ram-karda vahshī-e-ḳhutan thā
ki jayoñ parvāna dil jaañ saukhatā hai
magar aayā o sham-e-anjuman thā
lagāyā tīr-e-mizhgāñ jis kuuñ kal tuuñ
paḌā maidān meñ o be-dafan thā
banā guldasta-e-dastār tesha
nisār-e-nām-e-shīrīñ kohkan thā
kahā o kāf-e-kākul kā muje bhed
alī-murtazā jo but-shikan thā
dil-e-qumrī gayā jo mubtalā kar
alif-qad-o-ajab sarv-e-chaman thā
ġhanīmat hai jo koī ba.ad-az kahe yuuñ
'turāb'-e-dardmand sāhib-suḳhan thā
malamat-pesha-o-jadu-nayan tha
dil-e-ram-karda wahshi-e-KHutan tha
ki jayon parwana dil jaan saukhata hai
magar aaya o sham-e-anjuman tha
lagaya tir-e-mizhgan jis kun kal tun
paDa maidan mein o be-dafan tha
bana guldasta-e-dastar tesha
nisar-e-nam-e-shirin kohkan tha
kaha o kaf-e-kakul ka muje bhed
ali-murtaza jo but-shikan tha
dil-e-qumri gaya jo mubtala kar
alif-qad-o-ajab sarw-e-chaman tha
ghanimat hai jo koi baad-az kahe yun
'turab'-e-dardmand sahib-suKHan tha
- Book : Diwan-e-turab (Pg. 129)
- Author : Shah Turab Ali Dakani
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.