shaida-e-tajalli hai parwana jise kahiye
shaidā-e-tajallī hai parvāna jise kahiye
asrār kā mahram hai dīvāna jise kahiye
saaqī kī nigāhoñ kā mastāna jise kahiye
sarshār-e-mohabbat hai dīvāna jise kahiye
labrez haiñ paimāne maḳhmūr haiñ dīvāne
nazzāra hai saaqī kā mai-ḳhāna jise kahiye
un mast nigāhoñ ne sau jaam pilā.e haiñ
hāsil hai mujhe zauq-e-rindāna jise kahiye
ai sāqi-e-mai-ḳhāna kuchh aur navāzish ho
ḳhālī hai abhī tak dil paimāna jise kahiye
ma.alūm nahīñ tujh ko ai chashm-e-tamāshā.ī
āgāh-e-haqīqat hai dīvāna jise kahiye
har gosha-e-dil meñ hai tasvīr-e-ruḳh-e-jānā
ye dil hai ajab ka.aba but-ḳhāna jise kahiye
jis din se mere dil ko ābād kiyā tum ne
anvār kī jannat hai kāshāna jise kahiye
duniyā kī zabāñ par hai 'sādiq' merā afsāna
vo band-e-maulā huuñ dīvāna jise kahiye
shaida-e-tajalli hai parwana jise kahiye
asrar ka mahram hai diwana jise kahiye
saqi ki nigahon ka mastana jise kahiye
sarshaar-e-mohabbat hai diwana jise kahiye
labrez hain paimane maKHmur hain diwane
nazzara hai saqi ka mai-KHana jise kahiye
un mast nigahon ne sau jam pilae hain
hasil hai mujhe zauq-e-rindana jise kahiye
ai saqi-e-mai-KHana kuchh aur nawazish ho
KHali hai abhi tak dil paimana jise kahiye
malum nahin tujh ko ai chashm-e-tamashai
aagah-e-haqiqat hai diwana jise kahiye
har gosha-e-dil mein hai taswir-e-ruKH-e-jaana
ye dil hai ajab kaba but-KHana jise kahiye
jis din se mere dil ko aabaad kiya tum ne
anwar ki jannat hai kashana jise kahiye
duniya ki zaban par hai 'sadiq' mera afsana
wo band-e-maula hun diwana jise kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.