amir-e-shahr ke aage duhai rahne de
amīr-e-shahr ke aage duhā.ī rahne de
phaTe libās meñ shān-e-gadā.ī rahne de
na jaane terī adā kā mizāj kab badle
zarā sī dil meñ mire be-vafā.ī rahne de
tamām ghar ke asāsoñ se kuchh nahīñ matlab
hamāre hujre kī sūkhī chaTā.ī rahne de
ye sach hai koī bhī ḳhūbī nahīñ hai mujh meñ magar
tamām umr yūñhī āshnā.ī rahne de
har ek qatra-e-ḳhūñ ko bahut tasallī hai
jigar meñ jalva-e-dast-e-hinā.ī rahne de
tū apne husn-e-amal kā ḳhayāl rakh 'gauhar'
gunah-gāroñ kī kuchh burā.ī rahne de
amir-e-shahr ke aage duhai rahne de
phaTe libas mein shan-e-gadai rahne de
na jaane teri ada ka mizaj kab badle
zara si dil mein mere be-wafai rahne de
tamam ghar ke asason se kuchh nahin matlab
hamare hujre ki sukhi chaTai rahne de
ye sach hai koi bhi KHubi nahin hai mujh mein magar
tamam umr yunhi aashnai rahne de
har ek qatra-e-KHun ko bahut tasalli hai
jigar mein jalwa-e-dast-e-hinai rahne de
tu apne husn-e-amal ka KHayal rakh 'gauhar'
gunah-garon ki kuchh burai rahne de
- Book : Gard-o-Gobaar (Pg. 20)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.