tujhi ko sochte har-pal tujhi se guftugu karte
tujhī ko sochte har-pal tujhī se guftugū karte
jo ik umr aur mil jaatī tirī hī aarzū karte
tire dil ko qarār aatā hai jo tash.hīr-e-ulfat se
tū apne ishq kā charchā har ik se kū-ba-kū karte
tumhār is amal se dil shikasta ho gayā huuñ maiñ
agar shikvā hī karnā thā to mere rū-ba-rū karte
tumhār vāste dil meñ aqīdat jo nahīñ hotī
tumhār naam kā ta.avīz kyuuñ zeb-e-gulū karte
ham apnī ruuh ko dhote rahe ashk-e-nadāmat se
ki us kā sāmnā kaise bhalā ham be-vuzū karte
sabhī kī ḳhvāhishoñ kā paas jab rakhā gayā hai tū
qabāhat kyā thī us meñ jo hameñ bhī surkH-rū karte
muyassar hī nahīñ aa.ī kabhī ai 'shād' tanhā.ī
vagarna ḳhud se jī bhar ke kisī din guftugū karte
tujhi ko sochte har-pal tujhi se guftugu karte
jo ek umr aur mil jati teri hi aarzu karte
tere dil ko qarar aata hai jo tashhir-e-ulfat se
tu apne ishq ka charcha har ek se ku-ba-ku karte
tumhaar is amal se dil shikasta ho gaya hun main
agar shikwa hi karna tha to mere ru-ba-ru karte
tumhaar waste dil mein aqidat jo nahin hoti
tumhaar nam ka tawiz kyun zeb-e-gulu karte
hum apni ruh ko dhote rahe ashk-e-nadamat se
ki us ka samna kaise bhala hum be-wuzu karte
sabhi ki KHwahishon ka pas jab rakha gaya hai tu
qabahat kya thi us mein jo hamein bhi surkH-ru karte
muyassar hi nahin aai kabhi ai 'shad' tanhai
wagarna KHud se ji bhar ke kisi din guftugu karte
- Book : Harf-e-Isbat (Pg. 102)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.