kya kahun kya suna diya tune
kyā kahūñ kyā sunā diyā tuune
mar rahā thā jilā diyā tuune
is jahāñ ko banā ke ā.īna
apnā jalva dikhā diyā tuune
bhar diyā dāman-e-tamannā ko
vo diyā vo dilā diyā tuune
rah-ravān-e-adam ke jaane kā
ek rasta batā diyā tuune
mahv-e-hairat haiñ hazrat-e-mūsā
vo tamāsha dikhā diyā tuune
'bāġh' bekas ko apnī ke se
kyā vo thā kyā banā diyā tuune
kya kahun kya suna diya tune
mar raha tha jila diya tune
is jahan ko bana ke aaina
apna jalwa dikha diya tune
bhar diya daman-e-tamanna ko
wo diya wo dila diya tune
rah-rawan-e-adam ke jaane ka
ek rasta bata diya tune
mahw-e-hairat hain hazrat-e-musa
wo tamasha dikha diya tune
'bagh' bekas ko apni ke se
kya wo tha kya bana diya tune
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 77)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.