tazkira kar ke unki qamat ka
tazkira kar ke un kī qāmat kā
silsila chheḌ duuñ qiyāmat kā
vo sahe rañj kaañp uThtā huuñ
naam suntā huuñ jab mohabbat kā
tum ne gar dil nahīñ liyā to batāo
kaun thā phir tumhārī sūrat kā
taaza hotī hai yaad sub.h-e-vatan
dekh kar rañg-e-shām ġhurbat kā
jab se dekhe tere naqsh-o-nigār
rañg kuchh aur hai tabī.at kā
le ke dil 'bāġh' se ye farmāyā
shukriya aap kī ināyat kā
tazkira kar ke un ki qamat ka
silsila chheD dun qiyamat ka
wo sahe ranj kanp uThta hun
nam sunta hun jab mohabbat ka
tum ne gar dil nahin liya to batao
kaun tha phir tumhaari surat ka
taza hoti hai yaad subh-e-watan
dekh kar rang-e-sham ghurbat ka
jab se dekhe tere naqsh-o-nigar
rang kuchh aur hai tabiat ka
le ke dil 'bagh' se ye farmaya
shukriya aap ki inayat ka
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 77)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.