Sufinama

use boson se fursat hai na usko shikwa-e-gham hai

Kazim Ali Bagh

use boson se fursat hai na usko shikwa-e-gham hai

Kazim Ali Bagh

MORE BYKazim Ali Bagh

    use bosoñ se fursat hai na us ko shikva-e-ġham hai

    baḌī mushkil meñ haiñ donoñ dahan terā zabāñ merī

    tum aise be-hijābāna na aao sāmne mere

    nazar lag jā.egī tum ko nasīb-e-dushmanāñ merī

    unheñ zid hai ki hāl-e-dard-e-dil ham par na zāhir ho

    mujhe isrār hai us par ki sun leñ dāstāñ merī

    ilāhī kis ġhazab meñ paḌ gayā huuñ un ko dil de kar

    zamāna taak meñ hai ghaat meñ hai āsmāñ merī

    kahegā 'bāġh' kyā merī tarah merī haqīqat ko

    kahāñ se lā.egā qāsid dahan merā zabāñ merī

    use boson se fursat hai na us ko shikwa-e-gham hai

    baDi mushkil mein hain donon dahan tera zaban meri

    tum aise be-hijabana na aao samne mere

    nazar lag jaegi tum ko nasib-e-dushmanan meri

    unhen zid hai ki haal-e-dard-e-dil hum par na zahir ho

    mujhe israr hai us par ki sun len dastan meri

    ilahi kis ghazab mein paD gaya hun un ko dil de kar

    zamana tak mein hai ghat mein hai aasman meri

    kahega 'bagh' kya meri tarah meri haqiqat ko

    kahan se laega qasid dahan mera zaban meri

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 80)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now