jazb-e-dil be-asar na hojaye
jazb-e-dil be-asar na hojāye
kahīñ naua-e-digar na hojāye
dast-e-shauq un kī zulf ko na sañvār
ye balā tere sar na hojāye
yuuñ sañvar kar na sāmne aao
tum ko merī nazar na hojāye
ho ke braham na khīñch ruḳh se naqāb
sub.h ko dopahr na hojāye
mere rone pe tum na hañs denā
kahīñ aañsū guhar na hojāye
shab ko vo ā.eñge magar Dar hai
shaam hī se sahar na hojāye
nigah-e-nāz se na dekh mujhe
jaan nazr nazar na hojāye
phuuT kar 'bāġh' aabla dil kā
kahīñ zaḳhm-e-jigar na hojāye
jazb-e-dil be-asar na hojaye
kahin naua-e-digar na hojaye
dast-e-shauq un ki zulf ko na sanwar
ye bala tere sar na hojaye
yun sanwar kar na samne aao
tum ko meri nazar na hojaye
ho ke braham na khinch ruKH se naqab
subh ko dopahr na hojaye
mere rone pe tum na hans dena
kahin aansu guhar na hojaye
shab ko wo aaenge magar Dar hai
sham hi se sahar na hojaye
nigah-e-naz se na dekh mujhe
jaan nazr nazar na hojaye
phuT kar 'bagh' aabla dil ka
kahin zaKHm-e-jigar na hojaye
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 81)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.