nigah-e-naz ka banda hun umr-bhar ke liye
nigāh-e-nāz kā banda huuñ umr-bhar ke liye
ḳhudā ne ḳhalq kiyā hai tirī nazar ke liye
dar-e-qubūl agar band hai to khul jaa.e
taḌap rahī haiñ duā.eñ mirī asar ke liye
ye iztirāb nahīñ hai ġham-e-asīrī hai
taḌap rahā huuñ tah-e-dām bāl-o-par ke liye
janāb-e-'bāġh' ke kahne ko maan lo vo to
ġhulām banñe ko hāzir hai umr-bhar ke liye
nigah-e-naz ka banda hun umr-bhar ke liye
KHuda ne KHalq kiya hai teri nazar ke liye
dar-e-qubul agar band hai to khul jae
taDap rahi hain duaen meri asar ke liye
ye iztirab nahin hai gham-e-asiri hai
taDap raha hun tah-e-dam baal-o-par ke liye
janab-e-'bagh' ke kahne ko man lo wo to
ghulam banne ko hazir hai umr-bhar ke liye
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 81)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.