jab tasawwur mein wo surat hogi
jab tasavvur meñ vo sūrat hogī
dil ke har goshe meñ jannat hogī
sar-e-mahshar na suno qissa-e-ġham
ek qiyāmat meñ qiyāmat hogī
koī letā to hai dil meñ chuTkī
to na ho terī sharārat hogī
aap barbād kareñge mujh ko
aap ke haath meñ qismat hogī
kaash hogī jo mirī barbādī
ḳhud badaulat kī badaulat hogī
jab tasawwur mein wo surat hogi
dil ke har goshe mein jannat hogi
sar-e-mahshar na suno qissa-e-gham
ek qiyamat mein qiyamat hogi
koi leta to hai dil mein chuTki
to na ho teri shararat hogi
aap barbaad karenge mujh ko
aap ke hath mein qismat hogi
kash hogi jo meri barbaadi
KHud badaulat ki badaulat hogi
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 77)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.