jo dil ko mayassar hai wo mehman ke liye hai
jo dil ko mayassar hai vo mehmāñ ke liye hai
ik buuñd lahū kī tīr-e-paikāñ ke liye hai
inkār nahīñ shauq se aatā hai to aa.e
kuchh dil meñ jagah vasl ke armāñ ke liye hai
ik dil thā use kho hī chuke rāh-e-talab meñ
ye jaan jo baaqī hai vo jānāñ ke liye hai
mumkin hī nahīñ dast-o-garebāñ ho adū se
dāman to terā mere garebāñ ke liye hai
jo dil ko mayassar hai wo mehman ke liye hai
ek bund lahu ki tir-e-paikan ke liye hai
inkar nahin shauq se aata hai to aae
kuchh dil mein jagah wasl ke arman ke liye hai
ek dil tha use kho hi chuke rah-e-talab mein
ye jaan jo baqi hai wo jaanan ke liye hai
mumkin hi nahin dast-o-gareban ho adu se
daman to tera mere gareban ke liye hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 78)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.