tum na samjhoge bad-dua kya hai
tum na samjhoge bad-duā kyā hai
maiñ samajhtā huuñ ye balā kyā hai
zarra-zarra meñ hai tirā jalvā
tuuhī to hai tire sivā kyā hai
dekhtā kyuuñ hai baar baar mujhe
mudda.ī terā mudda.ā kyā hai
aisā be-ḳhud huā kuchh nahīñ ma.alūm
ki ḳhudī kyā hai aur ḳhudā kyā hai
tū uThā.egā bār-e-ishq ġhalat
mudda.ī terā hausla kyā hai
'bāġh' se muskurā ke pūchhte haiñ
sach batā terā mudda.ā kyā hai
tum na samjhoge bad-dua kya hai
main samajhta hun ye bala kya hai
zarra-zarra mein hai tera jalwa
tuhi to hai tere siwa kya hai
dekhta kyun hai bar bar mujhe
muddai tera muddaa kya hai
aisa be-KHud hua kuchh nahin malum
ki KHudi kya hai aur KHuda kya hai
tu uThaega bar-e-ishq ghalat
muddai tera hausla kya hai
'bagh' se muskura ke puchhte hain
sach bata tera muddaa kya hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 78)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.