muskura kar suni lagi dil ki
muskurā kar sunī lagī dil kī
tum uḌāne lage namī dil kī
jaao jaao bhī apnā kaam kaaro
ab bujhegī na ye lagī dil kī
dil lagā kar kabhī sunā ahvāl
dil se tum ne kabhī sunī dil kī
bak rahā hai junūñ meñ kyā kyā
tum bhī sun lo burī bhalī dil kī
le ke dil tum ne kar diyā pāmāl
ḳhuub miTTī ḳharāb kī dil kī
'bāġh' barsoñ bahār aa.ī ga.ī
na shagufta hoī kalī dil kī
muskura kar suni lagi dil ki
tum uDane lage nami dil ki
jao jao bhi apna kaam karo
ab bujhegi na ye lagi dil ki
dil laga kar kabhi suna ahwal
dil se tum ne kabhi suni dil ki
bak raha hai junun mein kya kya
tum bhi sun lo buri bhali dil ki
le ke dil tum ne kar diya pamal
KHub miTTi KHarab ki dil ki
'bagh' barson bahaar aai gai
na shagufta hoi kali dil ki
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 78)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.